हम चूल्हों की दुनिया से आए थे
जहाँ चूल्हों के लिए आग थी
आग के लिए लकड़ी थी
लकड़ी के लिए पेड़ थे
पेड़ों के लिए जंगल था
जंगलों के लिए पंछी थे
और पंछियों के लिए माँदल थे
पूरा परिवार था
चूल्हों की दुनिया में
चूल्हों का बँट जाना
परिवार का बँट जाना था
लोगों का नहीं
चूल्हों की महक
पड़ोसियों के घर
आ-जा सकती थी
लोग सहज ही जानते थे
चूल्हों की बात
और इसके लिए
मंदिर-मस्जिद या, कहीं भी
चोंगा से बात फैलाने पर
बात नहीं बिगड़ती थी
चूल्हों की बात पर
लोगों के मुँह में
पानी भर जाता था
या लोग नाक सिकोड़ते थे
लेकिन इससे कभी
किसी के देवता नाराज़ नहीं हुए
चूल्हों की बात पर ही
लोग सड़कों पर उतरते थे
जुलूस की शक्ल में
गोलियाँ चलती थीं
कारख़ानों सें चिमनियों की जगह
मज़दूर आसमान भेदते थे
खेतों से किसान
लोकगीतों से धार देते थे
अपने ग़ुस्से को
और जिनके चूल्हों को
अछूत कहा गया
उनके चूल्हों में ही
सबसे ज़्यादा सपने खौलते रहे हैं
चूल्हों की दुनिया में सबके लिए
एक समान बात थी—स्वाद और ताप
किसी बीते में नहीं है यह दुनिया
किसी दूसरे के हाथ में नहीं है इसकी चाभी
यह हमारे ही अंदर है
जो केवल तनी हुई बंद मुट्ठियों से खुलती है।
hum chulhon ki duniya se aaye the
jahan chulhon ke liye aag thi
ag ke liye lakDi thi
lakDi ke liye peD the
peDon ke liye jangal tha
janglon ke liye panchhi the
aur panchhiyon ke liye mandal the
pura pariwar tha
chulhon ki duniya mein
chulhon ka bant jana
pariwar ka bant jana tha
logon ka nahin
chulhon ki mahak
paDosiyon ke ghar
a ja sakti thi
log sahj hi jante the
chulhon ki baat
aur iske liye
mandir masjid ya, kahin bhi
chonga se baat phailane par
baat nahin bigaDti thi
chulhon ki baat par
logon ke munh mein
pani bhar jata tha
ya log nak sikoDte the
lekin isse kabhi
kisi ke dewta naraz nahin hue
chulhon ki baat par hi
log saDkon par utarte the
julus ki shakl mein
goliyan chalti theen
karkhanon sen chimaniyon ki jagah
mazdur asman bhedte the
kheton se kisan
lokgiton se dhaar dete the
apne ghusse ko
aur jinke chulhon ko
achhut kaha gaya
unke chulhon mein hi
sabse zyada sapne khaulte rahe hain
chulhon ki duniya mein sabke liye
ek saman baat thi—swad aur tap
kisi bite mein nahin hai ye duniya
kisi dusre ke hath mein nahin hai iski chabhi
ye hamare hi andar hai
jo kewal tani hui band mutthiyon se khulti hai
hum chulhon ki duniya se aaye the
jahan chulhon ke liye aag thi
ag ke liye lakDi thi
lakDi ke liye peD the
peDon ke liye jangal tha
janglon ke liye panchhi the
aur panchhiyon ke liye mandal the
pura pariwar tha
chulhon ki duniya mein
chulhon ka bant jana
pariwar ka bant jana tha
logon ka nahin
chulhon ki mahak
paDosiyon ke ghar
a ja sakti thi
log sahj hi jante the
chulhon ki baat
aur iske liye
mandir masjid ya, kahin bhi
chonga se baat phailane par
baat nahin bigaDti thi
chulhon ki baat par
logon ke munh mein
pani bhar jata tha
ya log nak sikoDte the
lekin isse kabhi
kisi ke dewta naraz nahin hue
chulhon ki baat par hi
log saDkon par utarte the
julus ki shakl mein
goliyan chalti theen
karkhanon sen chimaniyon ki jagah
mazdur asman bhedte the
kheton se kisan
lokgiton se dhaar dete the
apne ghusse ko
aur jinke chulhon ko
achhut kaha gaya
unke chulhon mein hi
sabse zyada sapne khaulte rahe hain
chulhon ki duniya mein sabke liye
ek saman baat thi—swad aur tap
kisi bite mein nahin hai ye duniya
kisi dusre ke hath mein nahin hai iski chabhi
ye hamare hi andar hai
jo kewal tani hui band mutthiyon se khulti hai
स्रोत :
रचनाकार : अनुज लुगुन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.