भली-भाँति याद है मुझे चूल्हा
चूल्हे की स्वाद भरी
मक्की, कोदरे और चावल की रोटियाँ
कड़छी में भरे
देसी घी का तड़का
दाल के पतीले में करता हुआ
च्लीउं की स्वादिष्ट आवाज़
याद है मुझे चूल्हे के पास घड़ोल्ही में
तैयार होने वाला मक्खन
भूने हुए आलु
चटनी के लिए कच्चे आम
तवे की भूनी मक्की के गुड़ वाले लड्डू
देसी घी में चोपड़े करारे फुलके
और सबसे अच्छा सर्दी में चूल्हे का ताप
ताप में सेंकती ख़ूब सारी लोककथाएँ
याद है मुझे
माँ का सुबह-शाम धुएँ में लिपटा चेहरा
मिलता रहा जो राख़ में धीरे-धीरे
अपने सपनों को फूँकता रहा लपटों में रोजाना
कमर झुकती रही बाइस लोगों का ख़्याल रखते-रखते
चूल्हा सिर्फ़ दाल-भात और रोटी का केंद्र नहीं था
वह था एक-दूसरे की परेशानियों, ख़ुशियों को बाँटने का पावन मंदिर
परिवार का सत्संग स्थल
संस्कारों की पाठशाला
एक-दूजे को समझने का पर्व
चूल्हा आज भी जल रहा है
पर लड़ाई ज़ारी है
अपनी-अपनी राख़ के लिए।
bhali bhanti yaad hai mujhe chulha
chulhe ki svaad bhari
makki, kodre aur chaval ki rotiyan
kaDchhi mein bhare
desi ghi ka taDka
daal ke patile mein karta hua
chliun ki svadisht avaz
yaad hai mujhe chulhe ke paas ghaDolhi men
taiyar hone vala makkhan
bhune hue aalu
chatni ke liye kachche aam
tave ki bhuni makki ke guD vale laDDu
desi ghi mein chopDe karare phulke
aur sabse achchha sardi mein chulhe ka taap
taap mein senkti khoob sari lokakthayen
yaad hai mujhe
maan ka subah shaam dhuen mein lipta chehra
milta raha jo raakh mein dhire dhire
apne sapnon ko phunkta raha lapton mein rojana
kamar jhukti rahi bais logon ka khyaal rakhte rakhte
chulha sirf daal bhaat aur roti ka kendr nahin tha
wo tha ek dusre ki pareshaniyon, khushiyon ko bantne ka pavan mandir
parivar ka satsang sthal
sanskaron ki pathashala
ek duje ko samajhne ka parv
chulha aaj bhi jal raha hai
par laDai zari hai
apni apni raakh ke liye.
bhali bhanti yaad hai mujhe chulha
chulhe ki svaad bhari
makki, kodre aur chaval ki rotiyan
kaDchhi mein bhare
desi ghi ka taDka
daal ke patile mein karta hua
chliun ki svadisht avaz
yaad hai mujhe chulhe ke paas ghaDolhi men
taiyar hone vala makkhan
bhune hue aalu
chatni ke liye kachche aam
tave ki bhuni makki ke guD vale laDDu
desi ghi mein chopDe karare phulke
aur sabse achchha sardi mein chulhe ka taap
taap mein senkti khoob sari lokakthayen
yaad hai mujhe
maan ka subah shaam dhuen mein lipta chehra
milta raha jo raakh mein dhire dhire
apne sapnon ko phunkta raha lapton mein rojana
kamar jhukti rahi bais logon ka khyaal rakhte rakhte
chulha sirf daal bhaat aur roti ka kendr nahin tha
wo tha ek dusre ki pareshaniyon, khushiyon ko bantne ka pavan mandir
parivar ka satsang sthal
sanskaron ki pathashala
ek duje ko samajhne ka parv
chulha aaj bhi jal raha hai
par laDai zari hai
apni apni raakh ke liye.
स्रोत :
रचनाकार : पवन चौहान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.