दादी चराती रही भेड़-बकरियाँ
और आठ वर्ष का पोता
खेलता रहा नदी की लहरों से
काफ़ी देर तक।
बुलाता रहा
रंग-बिरंगी चमकती मछलियों को अपने क़रीब बारंबार
लोककथा में सुने मोतियों को ढूँढ़ता रहा
हट-हट कर।
सर्दी के दिनों की झिलमिलाती
इस छोटी नदी में
तलाशता रहा डॉलफिन की उछाल।
डरता भी रहा
डिस्कवरी वाले बड़े मगरमच्छ
और दैत्यकार शार्क से।
भरी धूप में
अंजूरी भर-भर उछालता रहा वह नदी
चारों दिशाओं में
उंडेलता रहा सारे मोती
रंग-बिरंगी मछलियाँ और चमकीले पत्थर।
दादी देखती रही सब
पोते की अठखेलियाँ
स्वच्छंदता
उसका निश्छल मन
वह खिलखिलाती रही
बचपन लौटता रहा झुर्रियों में
बार-बार।
dadi charati rahi bheD bakriyan
aur aath varsh ka pota
khelta raha nadi ki lahron se
kafi der tak.
bulata raha
rang birangi chamakti machhaliyon ko apne qarib barambar
lokaktha mein sune motiyon ko DhunDhata raha
hat hat kar.
sardi ke dinon ki jhilmilati
is chhoti nadi men
talashta raha Daulphin ki uchhaal.
Darta bhi raha
Diskavri vale baDe magarmachchh
aur daitykar shark se.
bhari dhoop men
anjuri bhar bhar uchhalta raha wo nadi
charon dishaon men
unDelta raha sare moti
rang birangi machhliyan aur chamkile patthar.
dadi dekhti rahi sab
pote ki athkheliyan
svachchhandta
uska nishchhal man
wo khilkhilati rahi
bachpan lautta raha jhurriyon men
baar baar.
dadi charati rahi bheD bakriyan
aur aath varsh ka pota
khelta raha nadi ki lahron se
kafi der tak.
bulata raha
rang birangi chamakti machhaliyon ko apne qarib barambar
lokaktha mein sune motiyon ko DhunDhata raha
hat hat kar.
sardi ke dinon ki jhilmilati
is chhoti nadi men
talashta raha Daulphin ki uchhaal.
Darta bhi raha
Diskavri vale baDe magarmachchh
aur daitykar shark se.
bhari dhoop men
anjuri bhar bhar uchhalta raha wo nadi
charon dishaon men
unDelta raha sare moti
rang birangi machhliyan aur chamkile patthar.
dadi dekhti rahi sab
pote ki athkheliyan
svachchhandta
uska nishchhal man
wo khilkhilati rahi
bachpan lautta raha jhurriyon men
baar baar.
स्रोत :
रचनाकार : पवन चौहान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.