वह चिड़िया, जो कभी
सोने की चिड़िया कहलाती थी।
पिंजरे में बंद थी जब
तब वह रोती थी।
आज वह आज़ाद है
फिर भी रोती है
लेकिन रोती वह चुपके-चुपके।
आँसू नहीं बहते उसके
वह तो ख़ून के आँसू रोती है।
जब वह पिंजरे में थी तो
उसके सुनहले पंख पिंजरे की
दीवार से टकराते थे
और आज वह आज़ाद है तो
कई भयानक पक्षी उसे
मारते हैं चोंच।
वह रोती है अपने बच्चों के लिए
क्रूर आतंकवादी पक्षी
किए देते हैं उनका ख़ून।
अलगाववादी पक्षियों के झुंड,
किए देते हैं सफ़ाया
उसके बच्चों की एकता का।
जातिवादी पक्षी बना दे रहे हैं
उसके बच्चों को छोटा बड़ा
हो छोटे-बडे वे
होते ख़ून के प्यासे।
कैसे समझाए चिड़िया अपने
बच्चों को, कैसे बचाए वह
इन क्रूर राक्षस पतियों से
रो रही चिड़िया, घुट रही चिड़िया
कोस रही चिड़िया, अपनी क़िस्मत को।
wo chiDiya, jo kabhi
sone ki chiDiya kahlati thi.
pinjre mein band thi jab
tab wo roti thi.
aaj wo azad hai
phir bhi roti hai
lekin roti wo chupke chupke.
ansu nahin bahte uske
wo to khoon ke ansu roti hai.
jab wo pinjre mein thi to
uske sunahle pankh pinjre ki
divar se takrate the
aur aaj wo azad hai to
kai bhayanak pakshi use
marte hain chonch.
wo roti hai apne bachchon ke liye
kroor atankvadi pakshi
kiye dete hain unka khoon.
algavavadi pakshiyon ke jhunD,
kiye dete hain safaya
uske bachchon ki ekta ka.
jativadi pakshi bana de rahe hain
uske bachchon ko chhota baDa
ho chhote baDe ve
hote khoon ke pyase.
kaise samjhaye chiDiya apne
bachchon ko, kaise bachaye wo
in kroor rakshas patiyon se
ro rahi chiDiya, ghut rahi chiDiya
kos rahi chiDiya, apni qismat ko.
wo chiDiya, jo kabhi
sone ki chiDiya kahlati thi.
pinjre mein band thi jab
tab wo roti thi.
aaj wo azad hai
phir bhi roti hai
lekin roti wo chupke chupke.
ansu nahin bahte uske
wo to khoon ke ansu roti hai.
jab wo pinjre mein thi to
uske sunahle pankh pinjre ki
divar se takrate the
aur aaj wo azad hai to
kai bhayanak pakshi use
marte hain chonch.
wo roti hai apne bachchon ke liye
kroor atankvadi pakshi
kiye dete hain unka khoon.
algavavadi pakshiyon ke jhunD,
kiye dete hain safaya
uske bachchon ki ekta ka.
jativadi pakshi bana de rahe hain
uske bachchon ko chhota baDa
ho chhote baDe ve
hote khoon ke pyase.
kaise samjhaye chiDiya apne
bachchon ko, kaise bachaye wo
in kroor rakshas patiyon se
ro rahi chiDiya, ghut rahi chiDiya
kos rahi chiDiya, apni qismat ko.
स्रोत :
रचनाकार : वंदना टेटे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.