रेलयात्रा के दौरान
सामने की बर्थ पर किलकते
उस बच्चे के मुलायम गाल पर
मैं एक अघटित चुंबन की इच्छा की तरह छूट गया
पति से मार खाकर
सुबकती एक औरत की
आँसुओं से भरी आँखों के नीचे
मेरी हथेलियाँ आँसू पोछती हुई
एक विवश विकलता की तरह छूट गई।
ब्रांडेड दुकानों की
महँगी चीज़ों पर लगे दाम बताते टैग के पास
एक अपमानित संकोच की तरह भी कई बार छूटा हूँ।
औक़ात से बाहर के होटल में चप्पल पहन
अपनी अक्खड़ और बेपरवाह हँसी के साथ घुसा
और चीज़ों के दाम देख नज़रें झुकाए बाहर निकल आया
मैं बहुत-सी जगहों पर छूटा
अनगिनत अधूरी इच्छाओं की तरह
सुंदर जगह पर हमेशा रह पाने की इच्छा की तरह
मैं सुंदर लोगों के छूट जाने की टीस की तरह छूटा।
अन्याय के प्रतिरोध में हाथ उठाने की इच्छा की तरह
असहमति में हाथ तक न उठा पाने की विवशता की तरह भी छूटा।
मैं जिन लोगों से मिला
उनका एक हिस्सा अपने साथ ले आया
और जितनी जगहों पर गया
मेरा एक हिस्सा वहीं पर छूट गया
कल तुम्हारी स्मृति में निकली
मेरी आँसू की बूँद पहाड़ की चट्टान पर गिरी
इस तरह मैं करोड़ों साल पुरानी अरावली का हिस्सा बन गया…!
relyatra ke dauran
samne ki berth par kilakte
us bachche ke mulayam gaal par
main ek aghtit chumban ki ichha ki tarah chhoot gaya
pati se maar khakar
subakti ek aurat ki
ansuon se bhari ankhon ke niche
meri hatheliyan ansu pochhti hui
ek vivash vikalta ki tarah chhoot gai.
branDeD dukanon ki
mahngi chizon par lage daam batate taig ke paas
ek apmanit sankoch ki tarah bhi kai baar chhuta hoon.
auqat se bahar ke hotel mein chappal pahan
apni akkhaD aur beparvah hansi ke saath ghusa
aur chizon ke daam dekh nazren jhukaye bahar nikal aaya
main bahut si jaghon par chhuta
anaginat adhuri ichchhaun ki tarah
sundar jagah par hamesha rah pane ki ichha ki tarah
main sundar logon ke chhoot jane ki tees ki tarah chhuta.
annyaye ke pratirodh mein haath uthane ki ichha ki tarah
ashamti mein haath tak na utha pane ki vivashta ki tarah bhi chhuta.
main jin logon se mila
unka ek hissa apne saath le aaya
aur jitni jaghon par gaya
mera ek hissa vahin par chhoot gaya
kal tumhari smriti mein nikli
meri ansu ki boond pahaD ki chattan par giri
is tarah main karoDon saal purani aravali ka hissa ban gaya…!

स्रोत :
रचनाकार : गौरव सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.