छोटे लोग तो समय पर
पाँस सौ का क़र्ज़ भी नहीं लौटा पाते
और फटकार खाकर
ग्लानि में डूबे रहते हैं कई-कई दिनों तक
छोटे लोग डेढ़ सौ का उधार चुकता करने में
अक्सर विलंब कर देते हैं
और फ़ज़ीहत झेलकर
जब घर लौटते हैं
बीवी-बच्चे पर आँखें तरेरते हैं
बड़े लोगों की बात अलग है
वे हज़ार करोड़ की बातें करते हैं
छोटे लोग तो इतनी गिनती भी नहीं जानते
वे दस रुपए की एक नोट को
जतन से बाँधकर चलते हैं
रास्ते में पिछली बार गिर पड़ा था और नहीं मिला था तो
रात को निवाला कंठ से नीचे नहीं उतरा था
छोटे लोग इसे याद करते हैं
और दसटकिए को चलते हुए छूकर
ताक़ीद करते रहते हैं
कि वह है!
chhote log to samay par
pans sau ka qarz bhi nahin lauta pate
aur phatkar khakar
glani mein Dube rahte hain kai kai dinon tak
chhote log DeDh sau ka udhaar chukta karne mein
aksar wilamb kar dete hain
aur fazihat jhelkar
jab ghar lautte hain
biwi bachche par ankhen tarerte hain
baDe logon ki baat alag hai
we hazar karoD ki baten karte hain
chhote log to itni ginti bhi nahin jante
we das rupae ki ek not ko
jatan se bandhakar chalte hain
raste mein pichhli bar gir paDa tha aur nahin mila tha to
raat ko niwala kanth se niche nahin utra tha
chhote log ise yaad karte hain
aur dasatakiye ko chalte hue chhukar
taqid karte rahte hain
ki wo hai!
chhote log to samay par
pans sau ka qarz bhi nahin lauta pate
aur phatkar khakar
glani mein Dube rahte hain kai kai dinon tak
chhote log DeDh sau ka udhaar chukta karne mein
aksar wilamb kar dete hain
aur fazihat jhelkar
jab ghar lautte hain
biwi bachche par ankhen tarerte hain
baDe logon ki baat alag hai
we hazar karoD ki baten karte hain
chhote log to itni ginti bhi nahin jante
we das rupae ki ek not ko
jatan se bandhakar chalte hain
raste mein pichhli bar gir paDa tha aur nahin mila tha to
raat ko niwala kanth se niche nahin utra tha
chhote log ise yaad karte hain
aur dasatakiye ko chalte hue chhukar
taqid karte rahte hain
ki wo hai!
स्रोत :
रचनाकार : मिथिलेश कुमार राय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.