मृत्यु  से  क्या  डरना  रे  
प्रक्रिया  परिधान  परिवर्तन  का  
मर  रहा  जो  त्याज्य  वह  है  
मोह  कैसा  करना  रे...  
वही  रुदन  स्वाभाविक  तेरा  
जन्म  लेते  जब  मृत्यु-वन  में  
बिछुर  असीम  अनंत  से  जब  
बंध  जाते  किसी  सीमित  तन  में,  
स्वतंत्र  स्तित्व  के  अंबर  से  जब,  
पराधीन  जीवन  में  बंधना  रे...  
मृत्यु  से  क्या  डरना  रे...  
जीर्ण-शीर्ण  खंडहर  में  रहकर  
कौन  भला  सुख  पाता  है?  
ढ़ह  जाने  दो  पार्थिव  गृह  को,  
हो  शस्वत  घर  संरचना  रे,  
मृत्यु  से  क्या  डरना  रे...।  
मृत्यु  तो  है  संदेश  प्रेम  का,  
आता  जो  तेरे  निज  आश्रम  से।  
विस्मृत  कर  जिस  शस्वत  संबंध  को  
आशक्त  हुए  नव  जीवन  से।  
अब  छोड़  कुटुम्ब  का  आतिथ्य  सखे  
अपने  घर  को  जाना  रे...  
मृत्यु  से  क्या  डरना  रे...।  
ज्यों  बिछुड़  कर  सिंधु  से  जल  
अम्बर  में  जा  उमड़-घुमड़ता  
पुनि  नद-प्रणाल  से  होकर  जैसे  
सागर  में  ही  जाकर  मिलता।  
सागर  के  ही  कण  तुम  बिछुरड़े,  
अनगित  योनि  से  चलकर  आए।  
भय  कैसा  इस  महा  प्रयाण  में  
जब  सागर  में  ही  मिलना  रे...  
मृत्यु  से  क्या  डरना  रे...  
             
                mrityu  se  kya  Darna  re  
prakriya  paridhan  parivartan  ka  
mar  raha  jo  tyajya  wo  hai  
moh  kaisa  karna  re.  .  .  
vahi  rudan  svabhavik  tera  
janm  lete  jab  mrityu  van  men  
bichhur  asim  anant  se  jab  
bandh  jate  kisi  simit  tan  mein,  
svtantr  stitv  ke  ambar  se  jab,  
paradhin  jivan  mein  bandhna  re.  .  .  
mrityu  se  kya  Darna  re.  .  .  
jeern  sheern  khanDhar  mein  rahkar  
kaun  bhala  sukh  pata  hai?  
Dhah  jane  do  parthiv  grih  ko,  
ho  shasvat  ghar  sanrachna  re,  
mrityu  se  kya  Darna  re.  .  .  .  
mrityu  to  hai  sandesh  prem  ka,  
aata  jo  tere  nij  ashram  se.  
vismrit  kar  jis  shasvat  sambandh  ko  
ashakt  hue  nav  jivan  se.  
ab  chhoD  kutumb  ka  atithya  sakhe  
apne  ghar  ko  jana  re.  .  .  
mrityu  se  kya  Darna  re.  .  .  .  
jyon  bichhuD  kar  sindhu  se  jal  
ambar  mein  ja  umaD  ghumaDta  
puni  nad  prnaal  se  hokar  jaise  
sagar  mein  hi  jakar  milta.  
sagar  ke  hi  kan  tum  bichhurDe,  
angit  yoni  se  chalkar  aaye.  
bhay  kaisa  is  maha  pryaan  men  
jab  sagar  mein  hi  milna  re.  .  .  
mrityu  se  kya  Darna  re.  .  .  
mrityu  se  kya  Darna  re  
prakriya  paridhan  parivartan  ka  
mar  raha  jo  tyajya  wo  hai  
moh  kaisa  karna  re.  .  .  
vahi  rudan  svabhavik  tera  
janm  lete  jab  mrityu  van  men  
bichhur  asim  anant  se  jab  
bandh  jate  kisi  simit  tan  mein,  
svtantr  stitv  ke  ambar  se  jab,  
paradhin  jivan  mein  bandhna  re.  .  .  
mrityu  se  kya  Darna  re.  .  .  
jeern  sheern  khanDhar  mein  rahkar  
kaun  bhala  sukh  pata  hai?  
Dhah  jane  do  parthiv  grih  ko,  
ho  shasvat  ghar  sanrachna  re,  
mrityu  se  kya  Darna  re.  .  .  .  
mrityu  to  hai  sandesh  prem  ka,  
aata  jo  tere  nij  ashram  se.  
vismrit  kar  jis  shasvat  sambandh  ko  
ashakt  hue  nav  jivan  se.  
ab  chhoD  kutumb  ka  atithya  sakhe  
apne  ghar  ko  jana  re.  .  .  
mrityu  se  kya  Darna  re.  .  .  .  
jyon  bichhuD  kar  sindhu  se  jal  
ambar  mein  ja  umaD  ghumaDta  
puni  nad  prnaal  se  hokar  jaise  
sagar  mein  hi  jakar  milta.  
sagar  ke  hi  kan  tum  bichhurDe,  
angit  yoni  se  chalkar  aaye.  
bhay  kaisa  is  maha  pryaan  men  
jab  sagar  mein  hi  milna  re.  .  .  
mrityu  se  kya  Darna  re.  .  .  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : कलानाथ मिश्र  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.