सूरज को तब तक देखते रहो
जब तक आपकी आँखों के सिकुड़ते ही
उनमें चाँद नहीं उतरा आता
चाँद को तब तक देखते रहो
जब तक उसे देखते-देखते
ताली बजाता बच्चा
उसे मामा नहीं कहता
जब तक चाँद सौगातों से भरी गठरी
लेकर अपने आँगन में
आकर नहीं खड़ा होता
और जब तक चाँद आपको देखता-देखता
अचानक ‘बोबो' कह कर नहीं बुलाता
खोलो खोलो
खोलो उसके कंधे पर रक्खी हुई गाँठ
जिसमें आपकी माँ ने भेजी है सौगात।
ठांगियाँ, खुमानियाँ, बादाम, मकोल
गरने और सत्तू
चाँद तंग पड़ के कहता है
उठो बोबो दिन निकल आया है
देखो धूप कहाँ जा रही है
तेरी दीवारों पर धीरे-धीरे
हाथ फेरकर अब आँगन बुहारने लगी है
बैठने वाली जगह पर सफ़ेद मिट्टी के
सूखते ही
चटाइयाँ बिछा दी हैं
गाएँ बां-बां करते बछड़ों को छोड़ कर
चरने को चल दी हैं
लोग अपने गाय-गोरु चरने के लिए
भेजकर, वापिस लौट आए हैं
आँगन में गोबर का ढेर लगा है
उठो बहू रानी
गोबर के उपले बनाओ
suraj ko tab tak dekhte raho
jab tak apaki ankhon ke sikuDte hi
unmen chand nahin utra aata
chand ko tab tak dekhte raho
jab tak use dekhte dekhte
tali bajata bachcha
use mama nahin kahta
jab tak chand saugaton se bhari gathri
lekar apne angan mein
akar nahin khaDa hota
aur jab tak chand aapko dekhta dekhta
achanak ‘bobo kah kar nahin bulata
kholo kholo
kholo uske kandhe par rakkhi hui ganth
jismen apaki man ne bheji hai saugat
thangiyan, khumaniyan, badam, makol
garne aur sattu
chand tang paD ke kahta hai
utho bobo din nikal aaya hai
dekho dhoop kahan ja rahi hai
teri diwaron par dhire dhire
hath pherkar ab angan buharne lagi hai
baithne wali jagah par safed mitti ke
sukhte hi
chataiyan bichha di hain
gayen ban ban karte bachhDon ko chhoD kar
charne ko chal di hain
log apne gay goru charne ke liye
bhejkar, wapis laut aaye hain
angan mein gobar ka Dher laga hai
utho bahu rani
gobar ke uple banao
suraj ko tab tak dekhte raho
jab tak apaki ankhon ke sikuDte hi
unmen chand nahin utra aata
chand ko tab tak dekhte raho
jab tak use dekhte dekhte
tali bajata bachcha
use mama nahin kahta
jab tak chand saugaton se bhari gathri
lekar apne angan mein
akar nahin khaDa hota
aur jab tak chand aapko dekhta dekhta
achanak ‘bobo kah kar nahin bulata
kholo kholo
kholo uske kandhe par rakkhi hui ganth
jismen apaki man ne bheji hai saugat
thangiyan, khumaniyan, badam, makol
garne aur sattu
chand tang paD ke kahta hai
utho bobo din nikal aaya hai
dekho dhoop kahan ja rahi hai
teri diwaron par dhire dhire
hath pherkar ab angan buharne lagi hai
baithne wali jagah par safed mitti ke
sukhte hi
chataiyan bichha di hain
gayen ban ban karte bachhDon ko chhoD kar
charne ko chal di hain
log apne gay goru charne ke liye
bhejkar, wapis laut aaye hain
angan mein gobar ka Dher laga hai
utho bahu rani
gobar ke uple banao
स्रोत :
पुस्तक : बीरबहूटियाँ (पृष्ठ 54)
रचनाकार : पद्मा सचदेव
प्रकाशन : साहित्य भंडार
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.