मैं धरती के किसी हिस्से में
गुमशुदा पानी के बूँद-सा
मेरा पता सदैव
इन्हीं रेतीले रास्तों से होकर गुज़रा करे
कुएँ, तालाब पर
जमी परतों के ख़िलाफ़
मैं बससे आख़िर तक
एक क़तरा बूँद सदृश
ज़रूरी होना चाहती हूँ।
इसकी कोई शर्त नहीं
कि आधी रात नींद खुलने पर
रात से डरा जाए
या उसकी कराह से कर जुगलबंदी
बेरहमी से काटी जाए रात
जबकि वह टीस में है!
रात नीत्शे को स्वप्न में देखा
जब जागी
तम माँ कलाई में मन्नत का धागा बाँध रही थी
माँ, इन धागों से कह दो
मुझे बचाए यह वहाँ तक पहुँचने से
जहाँ अपने से ज़्यादा कुछ दिखाई न दे
अवरुद्ध न करे मेरे प्रश्नों के रास्ते को
वैसे भी
इन दिनों सहमतियो से शक्लें ग़ायब हो रहीं
संबंध ज़्यादा नज़र आ रहे
मुझे उत्तर में बिकी हुई सहमतियाँ नहीं चाहिए
उस बेचैन कवि का संगतपूर्ण निष्कर्ष चाहिए
जिसके दिमाग़ की नसों को
मेंजाइटिस के चूहों ने कुतर डाला था।
main dharti ke kisi hisse mein
gumshuda pani ke boond sa
mera pata sadaiw
inhin retile raston se hokar guzra kare
kuen, talab par
jami parton ke khilaf
main basse akhir tak
ek qatra boond sadrish
zaruri hona chahti hoon
iski koi shart nahin
ki aadhi raat neend khulne par
raat se Dara jaye
ya uski karah se kar jugalbandi
berahmi se kati jaye raat
jabki wo tees mein hai!
raat nitshe ko swapn mein dekha
jab jagi
tam man kalai mein mannat ka dhaga bandh rahi thi
man, in dhagon se kah do
mujhe bachaye ye wahan tak pahunchne se
jahan apne se zyada kuch dikhai na de
awruddh na kare mere prashnon ke raste ko
waise bhi
in dinon sahamatiyo se shaklen ghayab ho rahin
sambandh zyada nazar aa rahe
mujhe uttar mein biki hui sahamatiyan nahin chahiye
us bechain kawi ka sangatpurn nishkarsh chahiye
jiske dimagh ki nason ko
menjaitis ke chuhon ne kutar Dala tha
main dharti ke kisi hisse mein
gumshuda pani ke boond sa
mera pata sadaiw
inhin retile raston se hokar guzra kare
kuen, talab par
jami parton ke khilaf
main basse akhir tak
ek qatra boond sadrish
zaruri hona chahti hoon
iski koi shart nahin
ki aadhi raat neend khulne par
raat se Dara jaye
ya uski karah se kar jugalbandi
berahmi se kati jaye raat
jabki wo tees mein hai!
raat nitshe ko swapn mein dekha
jab jagi
tam man kalai mein mannat ka dhaga bandh rahi thi
man, in dhagon se kah do
mujhe bachaye ye wahan tak pahunchne se
jahan apne se zyada kuch dikhai na de
awruddh na kare mere prashnon ke raste ko
waise bhi
in dinon sahamatiyo se shaklen ghayab ho rahin
sambandh zyada nazar aa rahe
mujhe uttar mein biki hui sahamatiyan nahin chahiye
us bechain kawi ka sangatpurn nishkarsh chahiye
jiske dimagh ki nason ko
menjaitis ke chuhon ne kutar Dala tha
स्रोत :
पुस्तक : पूर्वग्रह 166-67 (पृष्ठ 191)
संपादक : प्रेमशंकर शुक्ल
रचनाकार : नताशा
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.