जाति है कि जाती नहीं,
शर्म है कि आती नहीं
है दिए में तेल भी,
पर एक भी बाती नहीं।
जाति है कि जाती नहीं...
है पड़ा वो भूमि लथपथ,
ज़िंदा अभी है मारो झटपट
भीड़ तो आती है साथ,
पर आदमी एक लाती नहीं।
जाति है कि जाती नहीं...
पूछो इन वादियों से,
इन पुरानी घाटियों से
कर्मनाशा के मिलन से,
गंगा मर जाती नहीं।
जाति है कि जाती नहीं...
किस बात का दंभ है तुम्हें,
ये जाति क्या देगा तुम्हें?
तुम मंदिरों की दीवार उठाना,
घर में भले टाटी नहीं।
जाति है कि जाती नहीं...
बँटे हों जहाँ श्मशान तक,
ज़मीन-ओ-आसमान तक
जहाँ घड़े कुढ़ रहे घड़ों से,
वो एक देश की माटी नहीं।
जाति है कि जाती नहीं...
जाति बोने वालों का,
बीज मंत्र तो यही रहा
कि साँप गुड़ खाकर मरे
और टूटे मेरी लाठी नहीं।
जाति है कि जाती नहीं...
मत कहो कि मन साफ़ है,
समय के पास माप है
धर्म जाति की यह अफ़ीम,
किसने यहाँ चाटी नहीं?
जाति है कि जाती नहीं...
एक तरफ़ है धर्म-पताका,
एक तरफ़ है जाति-गाथा
इस तरह की दोग़ली गाड़ी,
हमसे खींची जाती नहीं।
जाति है कि जाती नहीं...
jati hai ki jati nahin,sharm hai ki aati nahin
hai diye mein tel bhi, par ek bhi bati nahin.
jati hai ki jati nahin. . .
hai paDa wo bhumi lathpath,zinda abhi hai maro jhatpat
bheeD to aati hai saath, par adami ek lati nahin.
jati hai ki jati nahin. . .
puchho in vadiyon se, in purani ghatiyon se
karmanasha ke milan se,ganga mar jati nahin.
jati hai ki jati nahin. . .
kis baat ka dambh hai tumhein,ye jati kya dega tumhen?
tum mandiron ki divar uthana, ghar mein bhale tati nahin.
jati hai ki jati nahin. . .
bate hon jahan shamshan tak,zamin o asman tak
jahan ghaDe kuDh rahe ghaDon se,vo ek desh ki mati nahin.
jati hai ki jati nahin. . .
jati bone valon ka, beej mantr to yahi raha
ki saanp guD khakar mare aur tute meri lathi nahin.
jati hai ki jati nahin. . .
mat kaho ki man saaf hai, samay ke paas maap hai
dharm jati ki ye afim, kisne yahan chati nahin?
jati hai ki jati nahin. . .
ek taraf hai dharm pataka,ek taraf hai jati gatha
is tarah ki dogli gaDi, hamse khinchi jati nahin.

स्रोत :
रचनाकार : बच्चा लाल 'उन्मेष'
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.