क़ब्र लिए फिरता हूँ
शहर दर शहर
दर-ब-दर
एक क़ब्र बचपन के किसी दोस्त की है
चेचक से मर गया था वह
रेख उठान के दिनों में
एक पतली-सी
मरियल किशोरी की क़ब्र
अंदर धँसी है शरीर के किसी कोने में
आत्महत्या किए हुए भाई की क़ब्र
मेरी पसलियों के ठीक नीचे है
बैसाख में चलती पछुवा से
चिता की लकड़ी तड़कती है
मद्धिम-सी आवाज़ में
एक गूँगे आदमी की भी क़ब्र दफ़्न है मेरे अंदर
जो कभी बोल नहीं पाया
लेकिन जिसकी आँखें हँसती थीं
किसी चरवाहे की टिटकारी तरह
मन में धँसी है
पिता की क़ब्र
साँझ ढलते ही
खूँटे पर लौटी गाय की तरह
आराम से सो जाती है
एक और क़ब्र है
मेरी माँ की
ठीक मेरे चेहरे के नीचे
उसके दाँत चमकते हैं अँधेरी रात में
जैसे जुगनू चमकते हैं।
क़br liye phirta hoon
shahr dar shahr
dar ba dar
ek क़br bachpan ke kisi dost ki hai
chechak se mar gaya tha wo
rekh uthan ke dinon mein
ek patli si
mariyal kishori ki qabr
andar dhansi hai sharir ke kisi kone mein
atmahatya kiye hue bhai ki qabr
meri pasliyon ke theek niche hai
baisakh mein chalti pachhuwa se
chita ki lakDi taDakti hai
maddhim si awaz mein
ek gunge adami ki bhi क़br dafn hai mere andar
jo kabhi bol nahin paya
lekin jiski ankhen hansti theen
kisi charwahe ki titkari tarah
man mein dhansi hai
pita ki qabr
sanjh Dhalte hi
khunte par lauti gay ki tarah
aram se so jati hai
ek aur क़br hai
meri man ki
theek mere chehre ke niche
uske dant chamakte hain andheri raat mein
jaise jugnu chamakte hain
क़br liye phirta hoon
shahr dar shahr
dar ba dar
ek क़br bachpan ke kisi dost ki hai
chechak se mar gaya tha wo
rekh uthan ke dinon mein
ek patli si
mariyal kishori ki qabr
andar dhansi hai sharir ke kisi kone mein
atmahatya kiye hue bhai ki qabr
meri pasliyon ke theek niche hai
baisakh mein chalti pachhuwa se
chita ki lakDi taDakti hai
maddhim si awaz mein
ek gunge adami ki bhi क़br dafn hai mere andar
jo kabhi bol nahin paya
lekin jiski ankhen hansti theen
kisi charwahe ki titkari tarah
man mein dhansi hai
pita ki qabr
sanjh Dhalte hi
khunte par lauti gay ki tarah
aram se so jati hai
ek aur क़br hai
meri man ki
theek mere chehre ke niche
uske dant chamakte hain andheri raat mein
jaise jugnu chamakte hain
स्रोत :
रचनाकार : रमाशंकर सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.