अपने पिता की तरह कैसे कर सकता हूँ प्यार मैं?
अपने भाई की तरह कैसे?
कैसे कर सकता हूँ प्यार अपने पुत्र की तरह?
मित्र की तरह कैसे?
कैसे किसी ऐसे व्यक्ति की तरह जो नहीं हूँ मैं?
स्त्रियों से किया गया प्यार
वासना की ओर ले गया है मुझे हमेशा
वनस्पतियों से किया गया प्यार
उच्चाटन की ओर।
पक्षियों से जब-जब किया है प्यार मैंने
चुप्पी का शिकार हो गया हूँ अक्सर
फूलों के बीच लगभग अन्हरा गई हैं मेरी आँखें
पशुओं से मिलकर सतर्क हो गया हूँ ज़रूरत से ज़्यादह
कहाँ कर सका हूँ प्यार मैं औरों की तरह किताबों से।
किताबें
बेचैनी के दौरान
पीठ पर रखी आत्मीय हथेली की तरह लगी हैं मुझे
दूसरे दे आते हैं उन्हें परचून की दूकान पर बेधड़क
औरों की तरह नहीं कर सका हूँ प्यार मैं कभी।
apne pita ki tarah kaise kar sakta hoon pyar main?
apne bhai ki tarah kaise?
kaise kar sakta hoon pyar apne putr ki tarah?
mitr ki tarah kaise?
kaise kisi aise wekti ki tarah jo nahin hoon main?
striyon se kiya gaya pyar
wasana ki or le gaya hai mujhe hamesha
wanaspatiyon se kiya gaya pyar
uchchatan ki or
pakshiyon se jab jab kiya hai pyar mainne
chuppi ka shikar ho gaya hoon aksar
phulon ke beech lagbhag anhara gai hain meri ankhen
pashuon se milkar satark ho gaya hoon zarurat se zyadah
kahan kar saka hoon pyar main auron ki tarah kitabon se
kitaben
bechaini ke dauran
peeth par rakhi atmiy hatheli ki tarah lagi hain mujhe
dusre de aate hain unhen parchun ki dukan par bedhaDak
auron ki tarah nahin kar saka hoon pyar main kabhi

स्रोत :
पुस्तक : उन हाथों से परिचित हूँ मैं (पृष्ठ 86)
रचनाकार : शलभ श्रीराम सिंह
प्रकाशन : रामकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.