सपने में सीढ़ियों से उतरती तुम्हारी बे-आवाज़ पुकार में बोलता हूँ। एक अनजान शहर के अनजान बाग़ के पौधे को तुम्हारे ‘टटोलने’ में बोलता हूँ।
म कैसे लिखती हो तुम? एक खड़ी पाई के सदियों से खड़े रहने में बोलता हूँ। अभी-अभी बोला हूँ तुम्हारे बाएँ पाँव के अँगूठे पर लगी अधछूटी नेल पॉलिश में।
तुम्हारे नाख़ून पर उभरे नक़्श मेरी लाचार भाषा का चेहरा हैं।
उन तस्वीरों, चिट्ठियों में बोलता हूँ जो गुम जाने पर ही हासिल हुईं। तुम्हारी लापरवाह सँभाल में बोलता हूँ। तुम्हारे सीने में ज़ोर से धड़कते दिल पर तुम्हारी यक़ीन से डबडबायी आँखों से बोलता हूँ।
हमारे दरमियान जो फ़ासला है उसे शहर का सबसे पुराना रफ़ूगर जानता है। खींची और दरकी हुई उस जगह पर चित्रकार का इनसोम्निया, पान खिलाने वाली बुढ़िया की हँसी, मेरी अजन्मी बेटी की हथेली पर सजी हिना और और एक पागल का गीत साँस ले रहा है।
रफ़ू के लिए चुने गए सफ़ेद धागों की कसन में बोल रहा हूँ।
सुनो!
sapne mein siDhiyon se utarti tumhari be awaz pukar mein bolta hoon ek anjan shahr ke anjan bagh ke paudhe ko tumhare ‘tatolne’ mein bolta hoon
madh kaise likhti ho tum? ek khaDi pai ke sadiyon se khaDe rahne mein bolta hoon abhi abhi bola hoon tumhare bayen panw ke anguthe par lagi adhchhuti nel polish mein
tumhare nakhun par ubhre naqsh meri lachar bhasha ka chehra hain
un taswiron, chitthiyon mein bolta hoon jo gum jane par hi hasil huin tumhari laparwah sanbhal mein bolta hoon tumhare sine mein zor se dhaDakte dil par tumhari yaqin se DabaDbayi ankhon se bolta hoon
hamare darmiyan jo fasla hai use shahr ka sabse purana rafugar janta hai khinchi aur darki hui us jagah par chitrkar ka insomniya, pan khilane wali buDhiya ki hansi, meri ajanmi beti ki hatheli par saji hina aur aur ek pagal ka geet sans le raha hai
rafu ke liye chune gaye safed dhagon ki kasan mein bol raha hoon
suno!

हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों का व्यापक शब्दकोश : हिन्दवी डिक्शनरी
‘हिन्दवी डिक्शनरी’ हिंदी और हिंदी क्षेत्र की भाषाओं-बोलियों के शब्दों का व्यापक संग्रह है। इसमें अंगिका, अवधी, कन्नौजी, कुमाउँनी, गढ़वाली, बघेली, बज्जिका, बुंदेली, ब्रज, भोजपुरी, मगही, मैथिली और मालवी शामिल हैं। इस शब्दकोश में शब्दों के विस्तृत अर्थ, पर्यायवाची, विलोम, कहावतें और मुहावरे उपलब्ध हैं।