दुनिया के अच्छे से अच्छे शौहरों ने
बीवियों को बेहद प्यार किया
उनसे ख़ूब बातें कीं
अपने बचपन की
कि उनके बड़ों
ने उनके लिए समंदर लाँघा
चाँद का खिलौना दिया
और तारों से भर दिए उनके दामन
उनसे वादा लिया
अपने बड़ों के मान
और छोटों के ध्यान का
पसंदीदा चीज़ों, खानों और ख़ानदानों का ब्योरा दिया
उनके सपनों की बीवियाँ कैसी दीखें साझा किया
साझा किया दोस्तों, खेलों और शरारतों को
माँ के बनाए खाने के स्वाद को
वे घुल गईं
पानी में नून-सी
वे मैं में रहे
बीवियाँ तू हो गईं
और उनका भी एक बचपन था
यह वे ख़ुद भी भूल गईं।
duniya ke achchhe se achchhe shauharon ne
bibiyon ko behad pyaar kiya
unse khoob baten keen
apne bachpan ki
ki unke baDon
ne unke liye samandar langha
chaand ka khilauna diya
aur taron se bhar diye unke daman
unse vada liya
apne baDon ke maan
aur chhoton ke dhyaan ka
pasandida chizon, khanon aur khandanon ka byaura diya
unke sapnon ki bibiyan kaisi dikhen sajha kiya
sajha kiya doston, khelon aur shararaton ko
maan ke banaye khane ke svaad ko
ve ghul gain
pani mein noon si
ve main mein rahe
bibiyan tu ho gain
aur unka bhi ek bachpan tha
ye khu bhi bhool gain.
duniya ke achchhe se achchhe shauharon ne
bibiyon ko behad pyaar kiya
unse khoob baten keen
apne bachpan ki
ki unke baDon
ne unke liye samandar langha
chaand ka khilauna diya
aur taron se bhar diye unke daman
unse vada liya
apne baDon ke maan
aur chhoton ke dhyaan ka
pasandida chizon, khanon aur khandanon ka byaura diya
unke sapnon ki bibiyan kaisi dikhen sajha kiya
sajha kiya doston, khelon aur shararaton ko
maan ke banaye khane ke svaad ko
ve ghul gain
pani mein noon si
ve main mein rahe
bibiyan tu ho gain
aur unka bhi ek bachpan tha
ye khu bhi bhool gain.
स्रोत :
रचनाकार : कल्पना पंत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.