अब शब्दों की बिसात ही क्या रही
हत्या शब्द पढ़ता हूँ तो
साथ में चाय के लिए आवाज़ लगा रहा होता हूँ
आत्महत्या शब्द सुनता-पढ़ता हूँ
तो रस्सी, फंदा, करंट, पुल, नदी, रेल-पटरी वग़ैरह याद आते हैं
आदमी का चेहरा याद नहीं आता।
विशेषण न हो तो
शब्दों की अपनी कोई औक़ात बची नहीं है
जैसे हत्या के आगे सामूहिक लगे
तो कुछ हथियार, दराती, रंदा याद आते हैं
मरने वाले फिर भी याद नहीं आते
सामूहिक आत्महत्या पर भी
ज़हर का नाम ही पढ़ता हूँ
कितने थे
कौन थे
कौन पढ़ता है
कवि तक नहीं पढ़ता
इन दिनों
हमें संवेदनशील बनाने की क्षमता
थोड़ी-बहुत बची है तो शब्द
सामूहिक बलात्कार में
यह शब्द आते ही मुझे वह लड़की याद आ जाती है
उम्र लिखी हो तो अनुमानता हूँ लंबाई
राज्य लिखा हो तो खोज लेता हूँ गाँव
समय खोजता हूँ
रात लिखा हो
तो दुपहरिया में ही रात कर लेता हूँ
बारिश लिखी हो
तो अपना भी छाता फेंक देता हूँ
खेत लिखा हो तो कंकरीट के जंगल बीच
इतनी जगह बना ही लेता हूँ कि
गन्ने का खेत सोच सकूँ
इतना संवेदनशील हो जाता हूँ
कि उसी क्षण
कपड़े उतार कर वही पहुँच जाता हूँ
एकाध घंटे बाद
एक लाश के मुड़वारी बैठकर
कविता लिखता हूँ
कविता में नख-शिख लिखता हूँ
बस यह नहीं लिखता
कि एक लाश ने
दूसरी लाश पर कविता लिखी।
ab shabdon ki bisat hi kya rahi
hattya shabd paDhta hoon to
sath mein chay ke liye awaz laga raha hota hoon
atmahatya shabd sunta paDhta hoon
to rassi, phanda, karant, pul, nadi, rail patri waghairah yaad aate hain
adami ka chehra yaad nahin aata
wisheshan na ho to
shabdon ki apni koi auqat bachi nahin hai
jaise hattya ke aage samuhik lage
to kuch hathiyar, darati, randa yaad aate hain
marne wale phir bhi yaad nahin aate
samuhik atmahatya par bhi
zahr ka nam hi paDhta hoon
kitne the
kaun the
kaun paDhta hai
kawi tak nahin paDhta
in dinon
hamein sanwedanshil banane ki kshamata
thoDi bahut bachi hai to shabd
samuhik balatkar mein
ye shabd aate hi mujhe wo laDki yaad aa jati hai
umr likhi ho to anumanta hoon lambai
rajy likha ho to khoj leta hoon ganw
samay khojta hoon
raat likha ho
to dupahriya mein hi raat kar leta hoon
barish likhi ho
to apna bhi chhata phenk deta hoon
khet likha ho to kankrit ke jangal beech
itni jagah bana hi leta hoon ki
ganne ka khet soch sakun
itna sanwedanshil ho jata hoon
ki usi kshan
kapDe utar kar wahi pahunch jata hoon
ekadh ghante baad
ek lash ke muDawari baithkar
kawita likhta hoon
kawita mein nakh shikh likhta hoon
bus ye nahin likhta
ki ek lash ne
dusri lash par kawita likhi
ab shabdon ki bisat hi kya rahi
hattya shabd paDhta hoon to
sath mein chay ke liye awaz laga raha hota hoon
atmahatya shabd sunta paDhta hoon
to rassi, phanda, karant, pul, nadi, rail patri waghairah yaad aate hain
adami ka chehra yaad nahin aata
wisheshan na ho to
shabdon ki apni koi auqat bachi nahin hai
jaise hattya ke aage samuhik lage
to kuch hathiyar, darati, randa yaad aate hain
marne wale phir bhi yaad nahin aate
samuhik atmahatya par bhi
zahr ka nam hi paDhta hoon
kitne the
kaun the
kaun paDhta hai
kawi tak nahin paDhta
in dinon
hamein sanwedanshil banane ki kshamata
thoDi bahut bachi hai to shabd
samuhik balatkar mein
ye shabd aate hi mujhe wo laDki yaad aa jati hai
umr likhi ho to anumanta hoon lambai
rajy likha ho to khoj leta hoon ganw
samay khojta hoon
raat likha ho
to dupahriya mein hi raat kar leta hoon
barish likhi ho
to apna bhi chhata phenk deta hoon
khet likha ho to kankrit ke jangal beech
itni jagah bana hi leta hoon ki
ganne ka khet soch sakun
itna sanwedanshil ho jata hoon
ki usi kshan
kapDe utar kar wahi pahunch jata hoon
ekadh ghante baad
ek lash ke muDawari baithkar
kawita likhta hoon
kawita mein nakh shikh likhta hoon
bus ye nahin likhta
ki ek lash ne
dusri lash par kawita likhi
स्रोत :
रचनाकार : अखिलेश श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.