यह शाम की जादुई उजास
बादलों में घुलते हरे काले रंग में भीगे पेड़
क्या यह रास्ता मेरे जन्म-स्थान को जाता है
पीछे एक शहर है
दुकानों में चमकती और जर्जर इमारतों की रस्सियों पर
सूखते कपड़ों के बीच उठता विस्म़ृति का धुआँ
यातायात संकेतों और भुखमारी के अक्षांश देशांशों
में बस एक शहर
इश्तिहारों, मोटर के शोर और गर्मी से भरे
चौराहे पर कुछए-सी सड़क पार करती अदृश्य ख़ामोशी
फ़ैसले हो चुके हैं बारिश होना बाक़ी है
मैं रख देता हूँ एक समाप्त अध्याय के पन्ने
रास्ते के किनारे
एक पत्र के नीचे दबाकर
यह सोचकर कि लौटते हुए उठा लूँगा
यह सोचकर
कि अब यहाँ कभी नहीं लौटूँगा।
ye sham ki jadui ujas
badlon mein ghulte hare kale rang mein bhige peD
kya ye rasta mere janm sthan ko jata hai
pichhe ek shahr hai
dukanon mein chamakti aur jarjar imarton ki rassiyon par
sukhte kapDon ke beech uthta wismriti ka dhuan
yatayat sanketon aur bhukhmari ke akshansh deshanshon
mein bus ek shahr
ishtiharon, motor ke shor aur garmi se bhare
chaurahe par kuchhe si saDak par karti adrshy khamoshi
faisle ho chuke hain barish hona baqi hai
main rakh deta hoon ek samapt adhyay ke panne
raste ke kinare
ek patr ke niche dabakar
ye sochkar ki lautte hue utha lunga
ye sochkar
ki ab yahan kabhi nahin lautunga

स्रोत :
पुस्तक : दो बारिशों के बीच (पृष्ठ 67)
रचनाकार : राजेंद्र धोड़पकर
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.