बिना टिकट यात्रा करती लड़की
होते हुए सबके साथ भी
सबसे बचाती है अपने को
किसी से भी आँखें नहीं मिलाती
बिना टिकट यात्रा करती लड़की।
छिपाती है अपनी घबराहट
जेब में हाथ डाल चुपचाप टटोलती है रुपए
टिकट चेकर को देख मुस्कुराती है
पास आता है टिकट चेकर
तो खिड़की से बाहर झाँकने लगती है
बिना टिकट यात्रा करती लड़की।
राहत की साँस लेती है
बिना टिकट यात्रा करती लड़की
पेड़, पहाड़ और आसमान भी तो
हैं उसी की तरह बिना टिकट
बिना टिकट ही यात्रा करती हैं चिड़ियाँ सारे आसमान में।
पच्चीस रुपए का टिकट लो
इस महँगाई और बेरोज़गारी के दिनों में
अखरता है कितना
इन पच्चीस रुपयों में ले जा सकती है फल पिता के लिए।
ख़रीद सकती है
एक ज़रूरी किताब
अपनी छोटी बहन के लिए।
बोगी में बैठे लोग बतियाते हैं—
''चेहरा बता देता है साब
कौन चल रहा है बिना टिकट''
मन ही मन हँसती है
और हँसी को छिपाती है
बिना टिकट यात्रा करती लड़की
पकड़े जाने की आशंका से
अंदर ही अंदर सिहर जाती है
बिना टिकट यात्रा करती लड़की।
bina ticket yatra karti laDki
hote hue sabke sath bhi
sabse bachati hai apne ko
kisi se bhi ankhen nahin milati
bina ticket yatra karti laDki
chhipati hai apni ghabrahat
jeb mein hath Dal chupchap tatolti hai rupae
ticket chekar ko dekh muskurati hai
pas aata hai ticket chekar
to khiDki se bahar jhankne lagti hai
bina ticket yatra karti laDki
rahat ki sans leti hai
bina ticket yatra karti laDki
peD, pahaD aur asman bhi to
hain usi ki tarah bina ticket
bina ticket hi yatra karti hain chiDiyan sare asman mein
pachchis rupae ka ticket lo
is mahngai aur berozagar ke dinon mein
akharta hai kitna
in pachchis rupyon mein le ja sakti hai phal pita ke liye
kharid sakti hai
ek zaruri kitab
apni chhoti bahan ke liye
bogey mein baithe log batiyate hain—
chehra bata deta hai sab
kaun chal raha hai bina ticket
man hi man hansti hai
aur hansi ko chhipati hai
bina ticket yatra karti laDki
pakDe jane ki ashanka se
andar hi andar sihar jati hai
bina ticket yatra karti laDki
bina ticket yatra karti laDki
hote hue sabke sath bhi
sabse bachati hai apne ko
kisi se bhi ankhen nahin milati
bina ticket yatra karti laDki
chhipati hai apni ghabrahat
jeb mein hath Dal chupchap tatolti hai rupae
ticket chekar ko dekh muskurati hai
pas aata hai ticket chekar
to khiDki se bahar jhankne lagti hai
bina ticket yatra karti laDki
rahat ki sans leti hai
bina ticket yatra karti laDki
peD, pahaD aur asman bhi to
hain usi ki tarah bina ticket
bina ticket hi yatra karti hain chiDiyan sare asman mein
pachchis rupae ka ticket lo
is mahngai aur berozagar ke dinon mein
akharta hai kitna
in pachchis rupyon mein le ja sakti hai phal pita ke liye
kharid sakti hai
ek zaruri kitab
apni chhoti bahan ke liye
bogey mein baithe log batiyate hain—
chehra bata deta hai sab
kaun chal raha hai bina ticket
man hi man hansti hai
aur hansi ko chhipati hai
bina ticket yatra karti laDki
pakDe jane ki ashanka se
andar hi andar sihar jati hai
bina ticket yatra karti laDki
स्रोत :
रचनाकार : नीलेश रघुवंशी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.