पहाड़ों पर नहीं है
सिर्फ़ चिड़िया के चहकने की आवाज़
यहाँ खाई से उठती वह चीख़ भी है
जिसके पाँव तले से बारिश
चुरा ले गई थी सारा पहाड़
उस बच्ची के क़दमों के नीचे
सूखी लकड़ियों के चटकने की आवाज़ें
जिन्हें घर पहुँच
दाल में उबलते बुलबुलों की आवाज़ बनना था
बचाव अभियान में बिलखते सायरन बन गई हैं
कान लगाकर सुनो
बादल की धमकियों
और बारिश के तीरों के अलावा
कितनी आवाज़ें हैं
इस त्रासदी का मनहूस पार्श्व-संगीत?
इन मशीनों की हँसी
जो दाँत चियारती खड़ी हैं पहाड़ों के आगे,
ये आरियाँ
जो जंगल को दड़बा मान चुकी हैं
ग्राहकों के आदेश पर उठा कर ले जाती हैं कुछ पेड़
पीछे छोड़ती उनकी फड़फड़ाहट,
इन्हें जोड़ो!
अब बताओ भला
कितनी आवाज़ों के मिलने पर
कुछ चीख़-सा सुनाई देता है?
अनजान नहीं हूँ इस विरोधाभास से कि
जो पहाड़ों को ज़हर है
वही है उनका निवाला भी
पर बिम्ब-विधान बदलो
पहाड़ों से झरने फिसलने की आवाज़
जो तुम्हें आकर्षित कर रही है
संभव है वह मजबूरी में
पानी के पत्थर पर सिर पटकने की आवाज़ हो!
pahaDon par nahin hai
sirf chiDiya ke chahakne ki awaz
yahan khai se uthti wo cheekh bhi hai
jiske panw tale se barish
chura le gai thi sara pahaD
us bachchi ke qadmon ke niche
sukhi lakaDiyon ke chatakne ki awazen
jinhen ghar pahunch
dal mein ubalte bulabulon ki awaz banna tha
bachaw abhiyan mein bilakhte sayran ban gai hain
kan lagakar suno
badal ki dhamakiyon
aur barish ke tiron ke alawa
kitni awazen hain
is trasadi ka manhus parshw sangit?
in mashinon ki hansi
jo dant chiyarti khaDi hain pahaDon ke aage,
ye ariyan
jo jangal ko daDba man chuki hain
grahkon ke adesh par utha kar le jati hain kuch peD
pichhe chhoDti unki phaDphaDahat,
inhen joDo!
ab batao bhala
kitni awazon ke milne par
kuch cheekh sa sunai deta hai?
anjan nahin hoon is wirodhabhas se ki
jo pahaDon ko zahr hai
wahi hai unka niwala bhi
par bimb widhan badlo
pahaDon se jharne phisalne ki awaz
jo tumhein akarshait kar rahi hai
sambhaw hai wo majburi mein
pani ke patthar par sir patakne ki awaz ho!
pahaDon par nahin hai
sirf chiDiya ke chahakne ki awaz
yahan khai se uthti wo cheekh bhi hai
jiske panw tale se barish
chura le gai thi sara pahaD
us bachchi ke qadmon ke niche
sukhi lakaDiyon ke chatakne ki awazen
jinhen ghar pahunch
dal mein ubalte bulabulon ki awaz banna tha
bachaw abhiyan mein bilakhte sayran ban gai hain
kan lagakar suno
badal ki dhamakiyon
aur barish ke tiron ke alawa
kitni awazen hain
is trasadi ka manhus parshw sangit?
in mashinon ki hansi
jo dant chiyarti khaDi hain pahaDon ke aage,
ye ariyan
jo jangal ko daDba man chuki hain
grahkon ke adesh par utha kar le jati hain kuch peD
pichhe chhoDti unki phaDphaDahat,
inhen joDo!
ab batao bhala
kitni awazon ke milne par
kuch cheekh sa sunai deta hai?
anjan nahin hoon is wirodhabhas se ki
jo pahaDon ko zahr hai
wahi hai unka niwala bhi
par bimb widhan badlo
pahaDon se jharne phisalne ki awaz
jo tumhein akarshait kar rahi hai
sambhaw hai wo majburi mein
pani ke patthar par sir patakne ki awaz ho!
स्रोत :
रचनाकार : शुभम नेगी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.