जब गाँठ पड़ती है मन में
और अकुलाता हूँ
तो मन चाहता है
तोड़ दूँ सलाख़ें पिंजरे की
पा लूँ मुक्ति
उडूँ आकाश में
अंग-अंग तानूँ
स्वच्छ हवा में फैलाऊँ
अपने पंख।
इन्हीं ख़ुशदिल ख़यालों में
एक उड़ती हुई तितली
मुझे भटका देती है
और मैं फिर हो जाता हूँ क़ैद
उसी पिंजरानुमा कोठरी में
फिर से हो जाता हूँ आत्मलीन
महसूसता हुआ
अंतस में घुटे नग्मों की गुनगुनाहट
अनसुने संगीत का नाद
थिरकने लगते हैं मेरे पाँव
और फिर लहूलुहान हो जाते हैं
मेरा अंहकार
चीरता है वक्ष अपना
खो जाता है मुझसे
उड़ने का विश्वास
मुक्त गगन की पुकार
हवा का ताज़ा एहसास!
मेरा ताना-बाना
सब बिखरा-बिखरा आज
फिर-फिर समेटने की कोशिश
रात
करवटें बदलता रहता हूँ
जिस घास की चटाई पर
उसकी चुभन के निशान
उभर आए हैं मेरी पसलिय़ों पर भी
चूर-चूर हो गए हैं मेरे सब अंग
उस बंद कोठरी में
सूनी आँखों से
मैं ताकता रहता हूँ
और दोहराता रहता हूँ
पता नहीं क्या-क्या
पर यह रात है
कि ख़त्म नहीं होती
और मैं भी सोचता रहता हूँ
जाने क्या-क्या...
jab ganth paDti hai man mein
aur akulata hoon
to man chahta hai
toD doon salakhen pinjre ki
pa loon mukti
uDun akash mein
ang ang tanun
swachchh hawa mein phailaun
apne pankh
inhin khushdil khayalon mein
ek uDti hui titli
mujhe bhatka deti hai
aur main phir ho jata hoon qaid
usi pinjranuma kothari mein
phir se ho jata hoon atmalin
mahsusta hua
antas mein ghute nagmon ki gungunahat
anasune sangit ka nad
thirakne lagte hain mere panw
aur phir lahuluhan ho jate hain
mera anhkar
chirta hai waksh apna
kho jata hai mujhse
uDne ka wishwas
mukt gagan ki pukar
hawa ka taza ehsas!
mera tana bana
sab bikhra bikhra aaj
phir phir sametne ki koshish
raat
karawten badalta rahta hoon
jis ghas ki chatai par
uski chubhan ke nishan
ubhar aaye hain meri pasaliyon par bhi
choor choor ho gaye hain mere sab ang
us band kothari mein
suni ankhon se
main takta rahta hoon
aur dohrata rahta hoon r
pata nahin kya kya
par ye raat hai
ki khatm nahin hoti
aur main bhi sochta hoon
jane kya kya
jab ganth paDti hai man mein
aur akulata hoon
to man chahta hai
toD doon salakhen pinjre ki
pa loon mukti
uDun akash mein
ang ang tanun
swachchh hawa mein phailaun
apne pankh
inhin khushdil khayalon mein
ek uDti hui titli
mujhe bhatka deti hai
aur main phir ho jata hoon qaid
usi pinjranuma kothari mein
phir se ho jata hoon atmalin
mahsusta hua
antas mein ghute nagmon ki gungunahat
anasune sangit ka nad
thirakne lagte hain mere panw
aur phir lahuluhan ho jate hain
mera anhkar
chirta hai waksh apna
kho jata hai mujhse
uDne ka wishwas
mukt gagan ki pukar
hawa ka taza ehsas!
mera tana bana
sab bikhra bikhra aaj
phir phir sametne ki koshish
raat
karawten badalta rahta hoon
jis ghas ki chatai par
uski chubhan ke nishan
ubhar aaye hain meri pasaliyon par bhi
choor choor ho gaye hain mere sab ang
us band kothari mein
suni ankhon se
main takta rahta hoon
aur dohrata rahta hoon r
pata nahin kya kya
par ye raat hai
ki khatm nahin hoti
aur main bhi sochta hoon
jane kya kya
स्रोत :
पुस्तक : उजला राजमार्ग (पृष्ठ 151)
संपादक : रतनलाल शांत
रचनाकार : ग़ुलाम मोहम्मद ग़मगीन
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.