क्या तुम्हारे पास
अब भी है
कोई ऐसी कविता
जो अब तक तुमने किसी को सुनाई नहीं?
या कोई कहानी
जो अब तक नहीं कही
यदि हाँ तो आना...
मेरे पास एक संदूक है
ऐसी सारी कविताओं और कहनियों से भरी
यदि तुम सुनना चाहो कभी तो आना...
हमें कहना सुनना होगा
ये अनकही कविताएँ और कहानियाँ
मानस का बोझ हैं
इस जीवन यात्रा में...
इस बोझ को ढोना
क्या आवश्यक है
वो जोगी कहता है
इस जीवन के पहले
हम मृत थे एक लंबे काल के लिए
और इस जीवन के बाद भी,
हम मृत होंगे...
और और लंबी अवधि के लिए
इन दोनों मर्त्य अवस्थायों के बीच
ये ही है एक बहुत छोटा-सा जीवन
जो बीत रहा है...
अगला जीवन?
भ्रम भी तो हो सकता है
kya tumhare paas
ab bhi hai
koi aisi kavita
jo ab tak tumne kisi ko sunai nahin?
ya koi kahani
jo ab tak nahin kahi
yadi haan to aana. . .
mere paas ek sanduk hai
aisi sari kavitaon aur kahaniyon se bhari
yadi tum sunna chaho kabhi to aana. . .
hamein kahna sunna hoga
ye anakhi kavitayen aur kahaniyan
manas ka bojh hain
is jivan yatra mein. . .
is bojh ko Dhona
kya avashyak hai
wo jogi kahta hai
is jivan ke pahle
hum mrit the ek lambe kaal ke liye
aur is jivan ke baad bhi,
hum mrit honge. . .
aur aur lambi avadhi ke liye
in donon martya avasthayon ke beech
ye hi hai ek bahut chhota sa jivan
jo beet raha hai. . .
agla jivan?
bhram bhi to ho sakta hai
kya tumhare paas
ab bhi hai
koi aisi kavita
jo ab tak tumne kisi ko sunai nahin?
ya koi kahani
jo ab tak nahin kahi
yadi haan to aana. . .
mere paas ek sanduk hai
aisi sari kavitaon aur kahaniyon se bhari
yadi tum sunna chaho kabhi to aana. . .
hamein kahna sunna hoga
ye anakhi kavitayen aur kahaniyan
manas ka bojh hain
is jivan yatra mein. . .
is bojh ko Dhona
kya avashyak hai
wo jogi kahta hai
is jivan ke pahle
hum mrit the ek lambe kaal ke liye
aur is jivan ke baad bhi,
hum mrit honge. . .
aur aur lambi avadhi ke liye
in donon martya avasthayon ke beech
ye hi hai ek bahut chhota sa jivan
jo beet raha hai. . .
agla jivan?
bhram bhi to ho sakta hai
स्रोत :
रचनाकार : अलंकृति श्रीवास्तव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.