जहाँ तक मेरी जानकारी है
भीड़ ने सबसे पहले
ईश्वर के बेटे को मारा था
जिसके जन्म से अँग्रेज़ी सभ्यता की शुरुआत हुई थी
भीड़ हमेशा नामज़द के साथ अन्य है
भीड़ और पागल पर सज़ा मुकर्रर नहीं होती
भीड़ जितना डरी हुई होती है
उतनी ही हिंसक होती है
भीड़ नोताओं, तानाशाहों, आतंकियों का पहला निशाना है
भीड़ सफलता की निशानी है
भीड़ बाज़ार है
भीड़ लोकतंत्र का डुप्लीकेट है
दुनिया के पास तीन तरह के लोग हैं
पहला जो भीड़ ला सकता है
दूसरा जो भीड़ बनता है
तीसरा जो भीड़ का शिकार होता है
भीड़ के अध्ययन से पता चलता है
मनुष्य स्वभाव से अराजक और पशु है
और मनुष्यता की लड़ाई
एक दिनचर्या है
इतना सब लिखने और कहने पर
हो सकता है
भीड़ आए
या तो मुझे मार डाले
या मुझे ख़ुदा घोषित करे
jahan tak meri jankari hai
bheeD ne sabse pahle
iishvar ke bete ko mara tha
jiske janm se angrezi sabhyata ki shuruat hui thi
bheeD hamesha namzad ke saath anya hai
bheeD aur pagal par saja mukarrar nahin hoti
bheeD jitna Dari hui hoti hai
utni hi hinsak hoti hai
bheeD notaon, tanashahon, atankiyon ka pahla nishana hai
bheeD saphalta ki nishani hai
bheeD bazar hai
bheeD
loktantr ka Dupliket hai
duniya ke paas teen tarah ke log hain
pahla jo bheeD la sakta hai
dusra jo bheeD banta hai
tisra jo bheeD ka shikar hota hai
bheeD ke adhyayan se pata chalta hai
manushya svbhaav se arajak aur pashu hai
aur manushyata ki laDai
ek dincharya hai
itna sab likhne aur kahne par
ho sakta hai
bheeD aaye
ya to mujhe maar Dale
ya mujhe khuda ghoshit kare
jahan tak meri jankari hai
bheeD ne sabse pahle
iishvar ke bete ko mara tha
jiske janm se angrezi sabhyata ki shuruat hui thi
bheeD hamesha namzad ke saath anya hai
bheeD aur pagal par saja mukarrar nahin hoti
bheeD jitna Dari hui hoti hai
utni hi hinsak hoti hai
bheeD notaon, tanashahon, atankiyon ka pahla nishana hai
bheeD saphalta ki nishani hai
bheeD bazar hai
bheeD
loktantr ka Dupliket hai
duniya ke paas teen tarah ke log hain
pahla jo bheeD la sakta hai
dusra jo bheeD banta hai
tisra jo bheeD ka shikar hota hai
bheeD ke adhyayan se pata chalta hai
manushya svbhaav se arajak aur pashu hai
aur manushyata ki laDai
ek dincharya hai
itna sab likhne aur kahne par
ho sakta hai
bheeD aaye
ya to mujhe maar Dale
ya mujhe khuda ghoshit kare
स्रोत :
रचनाकार : अरमान आनंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.