मैं खुलकर बोलना चाहता हूँ
सत्य के पक्ष में
पर नहीं बोल पा रहा हूँ
कुंद हो रही है मेरी आवाज़
झूठ के नुमाइंदों के बीच
शब्दों को गढ़ने में माहिर मैं
अभिव्यक्ति की अनुपम कला में माहिर
तत्पर हूँ अभिव्यक्ति के ख़तरे उठाने ख़ातिर
पर ये क्या?
घोंट दिए जा रहे हैं मेरे शब्द
मेरे शब्दों की घरघराहट
भेद रही है मेरे ही कानों को...
मैं कर रहा हूँ ख़ुद को तैयार बार-बार
पर बार-बार कर दी जाती है मेरी भाषा ख़ारिज
झूठ की तख़्तियों के बीच...
मैं बोलूँगा,
अवश्य बोलूँगा
सत्य के पक्ष में अवश्य बोलूँगा
इन ख़तरों को उठाने के लिए अब तैयार हूँ मैं
बार-बार हो रही है मेरी भाषा की मुनादी
पर मैं बोलूँगा, भाषा की हत्या होने से पहले
तर्क के ठोस औज़ार और जीवंत भाषा में बोलूँगा।
main khulkar bolna chahta hoon
satya ke paksh men
par nahin bol pa raha hoon
kund ho rahi hai meri avaz
jhooth ke numaindon ke beech
shabdon ko gaDhne mein mahir main
abhivyakti ki anupam kala mein mahir
tatpar hoon abhivyakti ke khatre uthane khatir
par ye kyaa?
ghont diye ja rahe hain mere shabd
mere shabdon ki ghargharaht
bhed rahi hai mere hi kanon ko. . .
main kar raha hoon khud ko taiyar baar baar
par baar baar kar di jati hai meri bhasha kharij
jhooth ki takhtiyon ke beech. . .
main bolunga,
avashya bolunga
satya ke paksh mein avashya bolunga
in khatron ko uthane ke liye ab taiyar hoon main
baar baar ho rahi hai meri bhasha ki munadi
par main bolunga, bhasha ki hatya hone se pahle
tark ke thos auzar aur jivant bhasha mein bolunga.
main khulkar bolna chahta hoon
satya ke paksh men
par nahin bol pa raha hoon
kund ho rahi hai meri avaz
jhooth ke numaindon ke beech
shabdon ko gaDhne mein mahir main
abhivyakti ki anupam kala mein mahir
tatpar hoon abhivyakti ke khatre uthane khatir
par ye kyaa?
ghont diye ja rahe hain mere shabd
mere shabdon ki ghargharaht
bhed rahi hai mere hi kanon ko. . .
main kar raha hoon khud ko taiyar baar baar
par baar baar kar di jati hai meri bhasha kharij
jhooth ki takhtiyon ke beech. . .
main bolunga,
avashya bolunga
satya ke paksh mein avashya bolunga
in khatron ko uthane ke liye ab taiyar hoon main
baar baar ho rahi hai meri bhasha ki munadi
par main bolunga, bhasha ki hatya hone se pahle
tark ke thos auzar aur jivant bhasha mein bolunga.
स्रोत :
रचनाकार : वंदना गुप्ता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.