शब्दों के बीच
अनगिनत संवेदनाएँ तड़प रही हैं
वर्ण और मात्राओं की डंडियों ने
भावनाओं की गर्दन कसकर
अपनी मुट्ठी में भींच रखा है
मैं कई बार सोचता हूँ
संवेदनाओं को छुड़ा सकूँ
शब्दों की मज़बूत पकड़ से
और लिखूँ एक मज़दूर
आदिवासी की ठेठ बोली में कविताएँ
और उन्हें बता सकूँ कि
तुम सिर्फ़
रोज़ी-रोटी का जुगाड़ नहीं कर रहे हो
लिख रहे एक साथ ढेर सारी कविताएँ
जिसमें मैं शब्दों का लेप लगाकर
जीतता आ रहा हूँ
हर साल भाषा के प्रतिष्ठित कवि का पुरस्कार।
हर रोज़
मैं सोचता हूँ
ये पंक्ति आख़िरी है
ये कविता आख़िरी है
अब मैं लिखूँगा कविताएँ
मज़दूरों की ठेठ बोली में
क्योंकि किसी चीज़ पर
पहला हक़ उसे गढ़ने वालों का है
पर मैं ऐसा क्यों
नहीं कर रहा हूँ?
मैं भी शायद उनके पढ़ने से डर रहा हूँ
पर क्यों?
shabdon ke beech
anaginat sanwednayen taDap rahi hain
warn aur matraon ki DanDiyon ne
bhawnaon ki gardan kas ke
apni mutthi mein bheench rakha hai
main kai bar sochta hoon
sanwednaon ko chhuDa sakun
shabdon ki majbut pakaD se
aur likhun ek mazdur
adiwasi ki theth boli mein kawitayen
aur unhen bata sakun ki
tum sirf
roji roti ka jugaD nahin kar rahe ho
likh rahe ek sath Dher sari kawitayen
jismen main shabdon ka lep laga ke
jitta aa raha hoon
har sal bhasha ke pratishthit kawi ka puraskar
har roz
main sochta hoon
ye pankti akhiri hai
ye kawita akhiri hai
ab main likhunga kawitayen
mazduron ki theth boli mein, kyonki
kisi cheez par
pahla haq use gaDhne walon ka hai
par main aisa kyon
nahin kar raha hoon?
main bhi shayad unke paDhne se Dar raha hoon
par kyon?
shabdon ke beech
anaginat sanwednayen taDap rahi hain
warn aur matraon ki DanDiyon ne
bhawnaon ki gardan kas ke
apni mutthi mein bheench rakha hai
main kai bar sochta hoon
sanwednaon ko chhuDa sakun
shabdon ki majbut pakaD se
aur likhun ek mazdur
adiwasi ki theth boli mein kawitayen
aur unhen bata sakun ki
tum sirf
roji roti ka jugaD nahin kar rahe ho
likh rahe ek sath Dher sari kawitayen
jismen main shabdon ka lep laga ke
jitta aa raha hoon
har sal bhasha ke pratishthit kawi ka puraskar
har roz
main sochta hoon
ye pankti akhiri hai
ye kawita akhiri hai
ab main likhunga kawitayen
mazduron ki theth boli mein, kyonki
kisi cheez par
pahla haq use gaDhne walon ka hai
par main aisa kyon
nahin kar raha hoon?
main bhi shayad unke paDhne se Dar raha hoon
par kyon?
स्रोत :
रचनाकार : आशीष यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.