एक पेड़ था
एक नाम था उसका
एक कुल ख़ानदान भी था उसका
एक दिन
टूट कर गिरा धरती पर
और इसकी धमक सुनी गई
भाषा की छाती पर
एक नदी थी
धीरे-धीरे जिसने बहना बंद किया
और एक दिन दम तोड़ दिया उसने
अपने ही किनारों पर
इसकी आख़िरी हिचकी भी
सुनी गई भाषा की धड़कनों में...
हज़ारों फूल थे, पहाड़ थे
परिंदे और जीव-जंतू थे
बेशुमार रंग और शेड्स थे
एक दिन ग़ायब हो गए दृश्य से
और आख़री बार देखे गए
भाषा की अँधेरी गली में...
बेशुमार चीज़ें थीं
मामूली
बेहद मामूली-सी
पर जिनकी तरफ़ देखो
तो विस्मय से भर देती थीं
एक दिन
अपनी उपेक्षा से दु:खी होकर
सबने छोड़ दिया
भाषा का घर।
ek peD tha
ek nam tha uska
ek kul khandan bhi tha uska
ek din
toot kar gira dharti par
aur iski dhamak suni gai
bhasha ki chhati par
ek nadi thi
dhire dhire jisne bahna band kiya
aur ek din dam toD diya usne
apne hi kinaron par
iski akhiri hichki bhi
suni gai bhasha ki dhaDaknon mein
hazaron phool the, pahaD the
parinde aur jeew jantu the
beshumar rang aur sheDs the
ek din ghayab ho gaye drishya se
aur akhri bar dekhe gaye
bhasha ki andheri gali mein
beshumar chizen theen
mamuli
behad mamuli si
par jinki taraf dekho
to wismay se bhar deti theen
ek din
apni upeksha se duhkhi hokar
sabne chhoD diya
bhasha ka ghar
ek peD tha
ek nam tha uska
ek kul khandan bhi tha uska
ek din
toot kar gira dharti par
aur iski dhamak suni gai
bhasha ki chhati par
ek nadi thi
dhire dhire jisne bahna band kiya
aur ek din dam toD diya usne
apne hi kinaron par
iski akhiri hichki bhi
suni gai bhasha ki dhaDaknon mein
hazaron phool the, pahaD the
parinde aur jeew jantu the
beshumar rang aur sheDs the
ek din ghayab ho gaye drishya se
aur akhri bar dekhe gaye
bhasha ki andheri gali mein
beshumar chizen theen
mamuli
behad mamuli si
par jinki taraf dekho
to wismay se bhar deti theen
ek din
apni upeksha se duhkhi hokar
sabne chhoD diya
bhasha ka ghar
स्रोत :
रचनाकार : मणि मोहन
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.