हे भाव भागीरथी! शोभामयी तुम्हारी संपूर्ण मूर्ति ने
मेरे हृदय की मलिनता को दूर कर दिया है
तुम्हारे मधुर विन्यास में मुझे एक
सुंदर स्वर्ग की झलक मिली है
ईश्वर-सान्निध्य की आशा करके मैं
अपने जीवन के चरम अध्यायों को स्वेच्छापूर्वक समाप्त करूँगा।
हे माते! भाव भागीरथि। तुम्हारा जन्म-स्थान
उन्नतोन्नत हिमालय पर्वत है
मैदान में उतरकर तुम बहती हो,
तुम्हारे जल-प्रवाह को रास्ते में पड़ने वाले काँटें भी नहीं रोक
सकते
संयमी ही तुम्हारे जल की गहराई में अवगाहन कर सकते हैं।
हे माते भाव भागीरथि! तुम शिवजी के सिर पर भी पाँव रखकर
बह जाती हो। संसार तुम्हारे कारण सस्य श्यामल होता है
तुम्हारा कार्य सर्वजनसम्मत है
तुम्हारा परिष्वंग अद्भुत है और किसी उत्तम लोक का दर्शन
कराने वाला है
तुम्हारी लीलाएँ प्रशंसनीय हैं।
हे भाव भागीरथि! भक्ति-प्रपूर्ण हृदयों से सभी सज्जन
तुम्हारी उपासना करते हैं
आगम-सूक्तियों को प्रकाशित करने वाली तुम्हारी वीचियाँ
हृदयंगम ध्वनि कर रही है
संसार के श्रम-पूर्ण जीवन में तुम्हारे शीतल सहवास का
सुख अमृत-सार के सदृश मानता हूँ
हे माँ! तुम प्रार्थियों को बहुत-सी
रहस्यपूर्ण बातें सुनाती हो।
हे ज्ञान और आनंद रस रूपी भूषण समान रूप से
धारण करने वाली भाव-भागीरथि!
तुम्हारी निर्मलता को देखकर तृष्णा पीड़ित व्यक्ति
अपने हृदय को बहुत पवित्र करके उसे प्रेम रस संदेह से भर
लेता है
अपनी इस साधना में तीर्थ-यात्री होकर नाना नदियों को पार
कर लेता है।
bhagirathi! shobhamyi tumhari sampurn murti ne
mere hirdai ki malinta ko door kar diya hai.
tumhare madhur vinyas mein mujhe ek
sundar svarg ki jhalak mili hai.
ishvar sannidhy ki aasha karke main
apne jivan ke charam adhyayon ko svechchha purvak samapt karunga.
he mate! bhaav bhagirath. tumhara janm sthaan
unntonnat himale parvat hai.
maidan mein utarkar tum bahti ho,
tumhare jal pravah ko raste mein paDne vale kanten bhi nahin rok
sakte.
sanymi hi tumhare jal ki gahrai mein avgahan kar sakte hai.
he mate bhaav bhagirath! tum shivji ke sir par bhi paanv rakhkar
bah jati ho. sansar tumhare karan sasy shyamal hota hai.
tumhara kaary sarvajansammat hai.
tumhara parishvang adbhut hai aur kisi uttam lok ka darshan
karane vala hai.
tumhari lilayen prashansniy hain.
he bhaav bhagirath! bhakti prapurn hridyon se sabhi sajjan
tumhari upasna karte hain.
aagam suktiyon ko prakashit karne vali tumhari vichiyan
hridayangam dhvani kar rahi hai.
sansar ke shram poorn jivan mein tumhare shital sahvas ka
sukh amrit saar ke sadrish manata hoon.
maan! tum prarthiyon ko bahut si
rahasyapurn baten sunati ho.
he gyaan aur anand ras rupi bhushan saman roop se
dharan karne vali bhaav bhagirath!
tumhari nirmalta ko dekhkar tirishna piDit vekti
apne hirdai ko bahut pavitra karke use prem ras sandeh se bhar
leta hai.
apni is sadhana mein teerth yatri hokar nana nadiyon ko paar
kar leta hai.

स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 425)
रचनाकार : श्रीनिवासमूर्ति बेल्लूरि
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.