सेमल के फूल की तरह होती हैं बेटियाँ
हवा के झोके से लचकती डालियों-सी डुलती हुई
नील गगन में सपनों की उड़ान पाले
आँगन में चीं-चीं करती फुदकती
गौरैया की तरह होती हैं बेटियां
सन्नाटे में भरती हुई ख़ुशियों के गीत
नदी की मछलियाँ सरीखी होती हैं वे
बिन सिखाए जान जाती है तैरने की कला
एक ही बुड़की में पहुँच जाती हैं गहरे पानी के तल में
लाजवंती के पत्तों जैसी संकोची होती हैं बेटियाँ
हादसे की धमक पाते ही छिपा लेती हैं
अपनी नैसर्गिक चंचलता
आम्र बौरों, चूवे महुवे की मादक गंध बिखेरती
सयानी होती बेटियाँ चली जाती हैं दूसरे घरों में
छोड़कर कर दीवाल पर अपनी हथेलियों के निशान
झड़ती आँखों से छोड़ती हुई गंगा जमुना की धार!
semal ke phool ki tarah hoti hain betiyan
hava ke jhoke se lachakti Daliyon si Dulti hui
neel gagan mein sapnon ki uDaan pale
angan mein cheen cheen karti phudakti
gauraiya ki tarah hoti hain betiyan
sannate mein bharti hui khushiyon ke geet
nadi ki machhliyan sarikhi hoti hain ve
bin sikhaye jaan jati hai tairne ki kala
ek hi buDki mein pahunch jati hain gahre pani ke tal men
lajvanti ke patton jaisi sankochi hoti hain betiyan
hadse ki dhamak pate hi chhipa leti hain
apni naisargik chanchalta
aamr bauron, chuve mahuve ki madak gandh bikherti
sayani hoti betiyan chali jati hain dusre gharon men
chhoDkar kar dival par apni hatheliyon ke nishan
jhaDti ankhon se chhoDti hui ganga jamuna ki dhaar!

स्रोत :
रचनाकार : लक्ष्मीकांत मुकुल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.