मेरी बेटी रोज़ सुबह उठती है
और नियम से अपनी गुल्लक में डालती है सिक्के
इन सिक्कों की खनक से खिल जाती है उसके चेहरे पर
एक बेहद मासूम-सी मुस्कान
वह नियम से डालती है अपनी गुल्लक में सिक्के
ठीक ऐसे ही जैसे
नियम से निकलते हैं आसमान में
चाँद, सूरज और तारे
वह सोचती है कि एक दिन लेकर अपनी गुल्लक
निकलेगी वह बाज़ार और
ख़रीद लाएगी अपनी पसंद के मुट्ठी भर तारे
ढेर सारी ख़ुशियाँ और न जाने क्या कुछ
मैं उसके चेहरे पर खिली इस मुस्कान को देखती हूँ हर सुबह
और उसकी मासूमियत पर मुस्कुरा देती हूँ
मेरी चार साल की मासूम बेटी नहीं जानती
मुद्रा, मुद्रास्फीति और विश्व बाज़ार के बारे में कुछ भी
वह नहीं जानती कि क्यों दुनिया के तराज़ू पर
गिर गया है रुपये का वज़न
वह इंतज़ार कर रही है उस दिन का
जिस दिन भर जाएगी उसकी गुल्लक इन सिक्कों से और
वह निकलेगी घर से इन चमकते सिक्कों को लिए
ख़रीदने चमकीले सपने
जानती हूँ मैं कि जिस दिन इन सिक्कों को लिए
खड़ी होगी वह बाज़ार में
उसकी आँखों के कोरों में आँसुओं के सिवाय कुछ नहीं होगा
मैं उसकी पलकों पर आँसू की बूँदों की कल्पना करती हूँ
और बेहद उदास हो जाती हूँ।
meri beti roz subah uthti hai
aur niyam se apni gullak mein Dalti hai sikke
in sikkon ki khanak se khil jati hai uske chehre par
ek behad masum si muskan
wo niyam se Dalti hai apni gullak mein sikke
theek aise hi jaise
niyam se nikalte hain asman mein
chand, suraj aur tare
wo sochti hai ki ek din lekar apni gullak
niklegi wo bazar aur
kharid layegi apni pasand ke mutthi bhar tare
Dher sari khushiyan aur na jane kya kuch
main uske chehre par khili is muskan ko dekhti hoon har subah
aur uski masumiyat par muskura deti hoon
meri chaar sal ki masum beti nahin janti
mudra, mudrasphiti aur wishw bazar ke bare mein kuch bhi
wo nahin janti ki kyon duniya ke tarazu par
gir gaya hai rupye ka wazan
wo intzar kar rahi hai us din ka
jis din bhar jayegi uski gullak in sikkon se aur
wo niklegi ghar se in chamakte sikkon ko liye
kharidne chamkile sapne
janti hoon main ki jis din in sikkon ko liye
khaDi hogi wo bazar mein
uski ankhon ke koron mein ansuon ke siway kuch nahin hoga
main uski palkon par ansu ki bundon ki kalpana karti hoon
aur behad udas ho jati hoon

स्रोत :
रचनाकार : ज्योति चावला
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.