बेटी गई है बाहर काम पर...
ओ हवाओ, उसे रास्ता देना
दूर तक फैली काली लकीर-सी वहशी सड़को,
तनिक अपनी कालिख समेटकर
उसे दुर्घटना से बचाना।
भीड़ भरी बसो,
तनिक उस पर ममता वारना
उसे इस या उस या उसके वाहियात स्पर्शों
और जंगली छेड़छाड़ से बचाना।
बेटी गई है बाहर काम पर
दिशाओ, चुपके से उसके साथ हो लेना
और शाम ढले जब तलक़
वह लौटकर आती नहीं है घर,
ख़ुद को उजला और पारदर्शी बनाए रखना।
दिल्ली शहर के शोर, धुएँ
और पागल कोलाहल,
थोड़ी देर को थम जाना
ताकि बेटी जो गई है बाहर काम पर
शाम को
ठीक-ठाक, उत्फुल्ल मन घर लौटे।
न हो मलिनता,
न चिड़-चिड़ेपन का बोझ
उसकी कोमल आत्मा के गीले कैनवास पर...
तनिक ध्यान रखना हवाओ,
दूर तक फैली सड़को
और दिल्ली शहर के अंतहीन कोलाहल,
थोड़ी देर के लिए अपने भब्भड़ को समेटकर
उसे रास्ता देना...
ताकि बेटी जो गई है बाहर
लौटे तो उसकी चाल में
लाचार बासीपन का बोझ नहीं,
चलने और बस चलते चले जाने की उमंग हो।
अलबत्ता अभी तो बेटी घर से बाहर
गई है काम पर
और दिल बुरी तरह धक-धककर रहा है।
beti gai hai bahar kaam par. . .
o havao, use rasta dena
door tak phaili kali lakir si vahshi saDko,
tanik apni kalikh sametkar
use durghatna se bachana.
bheeD bhari baso,
tanik us par mamta varana
use is ya us ya uske vahiyat sparshon
aur jangli chheDchhaD se bachana.
beti gai hai bahar kaam par
dishao, chupke se uske saath ho lena
aur shaam Dhale jab talak
wo lautkar aati nahin hai ghar,
khud ko ujla aur paradarshi banaye rakhna.
dilli shahr ke shor, dhuen
aur pagal kolahal,
thoDi der ko tham jana
taki beti jo gai hai bahar kaam par
shaam ko
theek thaak, utphull man ghar laute.
na ho malinta,
na chiD chiDepan ka bojh
uski komal aatma ke gile kainvas par. . .
tanik dhyaan rakhna havao,
door tak phaili saDko
aur dilli shahr ke anthin kolahal,
thoDi der ke liye apne bhabbhaD ko sametkar
use rasta dena. . .
taki beti jo gai hai bahar
laute to uski chaal mein
lachar basipan ka bojh nahin,
chalne aur bas chalte chale jane ki umang ho.
albatta abhi to beti ghar se bahar
gai hai kaam par
aur dil buri tarah dhak dhakkar raha hai.
beti gai hai bahar kaam par. . .
o havao, use rasta dena
door tak phaili kali lakir si vahshi saDko,
tanik apni kalikh sametkar
use durghatna se bachana.
bheeD bhari baso,
tanik us par mamta varana
use is ya us ya uske vahiyat sparshon
aur jangli chheDchhaD se bachana.
beti gai hai bahar kaam par
dishao, chupke se uske saath ho lena
aur shaam Dhale jab talak
wo lautkar aati nahin hai ghar,
khud ko ujla aur paradarshi banaye rakhna.
dilli shahr ke shor, dhuen
aur pagal kolahal,
thoDi der ko tham jana
taki beti jo gai hai bahar kaam par
shaam ko
theek thaak, utphull man ghar laute.
na ho malinta,
na chiD chiDepan ka bojh
uski komal aatma ke gile kainvas par. . .
tanik dhyaan rakhna havao,
door tak phaili saDko
aur dilli shahr ke anthin kolahal,
thoDi der ke liye apne bhabbhaD ko sametkar
use rasta dena. . .
taki beti jo gai hai bahar
laute to uski chaal mein
lachar basipan ka bojh nahin,
chalne aur bas chalte chale jane ki umang ho.
albatta abhi to beti ghar se bahar
gai hai kaam par
aur dil buri tarah dhak dhakkar raha hai.
स्रोत :
रचनाकार : prakaash manu
प्रकाशन : वनमाली कथा,अप्रैल-2024
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.