इतनी-सी तो धरती है मेरी
इतने में ही सुनी
झींगुरों की झीं-झीं
लोगों के करवासन
इतने में सीखा रंग पहचानना
कपड़ों के और लोगों के—
प्रकृति तो बाद में आती है
बेघर होने के लिए
घर से निकलना नहीं पड़ता
मन को लगना होता है
पहले दीवारों की पपड़ियाँ छूटती हैं
फिर परिवारों के नक़ाब उतरते हैं
चूहों की लेड़ियाँ मिलती हैं
और रिश्तों से मैल छूटती है
बेघर होने के लिए
घर से निकलना नहीं पड़ता
मन को लगना होता है
टीवी में बहुएँ रोती हैं
घरों में बेटियाँ
मर्द निरादर के मौक़े तलाशते हैं
घरों में और टीवी में भी
बेघर होने के बाद भी
देखने को मिलती है आवाजाही
क़रीबियों की आड़ में छिपे दुराचारी की
पति से मार खाकर लौटी बुआ बेचारी की
तीज-त्यौहार मनते हैं
सीखे हुए रंगों पर कोहरे की धुंध से
नए रंग चढ़ते हैं
आप बेघर होते हैं
सिर पर आसमान होता है
चारों ओर दीवारें होती हैं
बस आपके पाँवों तले से
छोटी-सी धरती खींच ली जाती है।
itni si to dharti hai meri
itne mein hi suni
jhinguron ki jheen jheen
logon ke karwasan
itne mein sikha rang pahchanna
kapDon ke aur logon ke—
prakrti to baad mein aati hai
beghar hone ke liye
ghar se nikalna nahin paDta
man ko lagna hota hai
pahle diwaron ki papDiyan chhutti hain
phir pariwaron ke naqab utarte hain
chuhon ki leDiyan milti hain
aur rishton se mail chhutti hai
beghar hone ke liye
ghar se nikalna nahin paDta
man ko lagna hota hai
tiwi mein bahuwen roti hain
gharon mein betiyan
mard niradar ke mauqe talashte hain
gharon mein aur tiwi mein bhi
beghar hone ke baad bhi
dekhne ko milti hai awajahi
qaribiyon ki aaD mein chhipe durachari ki
pati se mar khakar lauti bua bechari ki
teej tyauhar mante hain
sikhe hue rangon par kohre ki dhundh se
nae rang chaDhte hain
ap beghar hote hain
sir par asman hota hai
charon or diwaren hoti hain
bus aapke panwon tale se
chhoti si dharti kheench li jati hai
itni si to dharti hai meri
itne mein hi suni
jhinguron ki jheen jheen
logon ke karwasan
itne mein sikha rang pahchanna
kapDon ke aur logon ke—
prakrti to baad mein aati hai
beghar hone ke liye
ghar se nikalna nahin paDta
man ko lagna hota hai
pahle diwaron ki papDiyan chhutti hain
phir pariwaron ke naqab utarte hain
chuhon ki leDiyan milti hain
aur rishton se mail chhutti hai
beghar hone ke liye
ghar se nikalna nahin paDta
man ko lagna hota hai
tiwi mein bahuwen roti hain
gharon mein betiyan
mard niradar ke mauqe talashte hain
gharon mein aur tiwi mein bhi
beghar hone ke baad bhi
dekhne ko milti hai awajahi
qaribiyon ki aaD mein chhipe durachari ki
pati se mar khakar lauti bua bechari ki
teej tyauhar mante hain
sikhe hue rangon par kohre ki dhundh se
nae rang chaDhte hain
ap beghar hote hain
sir par asman hota hai
charon or diwaren hoti hain
bus aapke panwon tale se
chhoti si dharti kheench li jati hai
स्रोत :
रचनाकार : प्रतिभा किरण
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.