कभी बाज़ार में खड़े होकर
बाज़ार के खिलाफ़ देखो
उन चीज़ों के ख़िलाफ़
जिन्हें पाने के लिए आए हो इस तरफ़
ज़रूरतों की गठरी कंधे से उतार देखो
कोने में खड़े होकर नक़ली चमक से सजा
तमाशा-ए-असबाब देखो
बाज़ार आए हो कुछ लेकर ही जाना है
सब कुछ पाने की हड़बड़ी के ख़िलाफ़ देखो
डंडी मारने वाले का हिसाब और उधार देखो
चैन ख़रीद सको तो ख़रीद लो
बेबसी बेच पाओ तो बेच डालो
किसी की ख़ैर में न सही अपने लिए ही
लेकर हाथ में जलती एक मशाल देखो
कभी बाज़ार में खड़े होकर
बाज़ार के खिलाफ़ देखो।
kabhi bazar mein khaDe hokar
bazar ke khilaf dekho
un chizon ke khilaf
jinhen pane ke liye aaye ho is taraf
zarurton ki gathri kandhe se utar dekho
kone mein khaDe hokar naqli chamak se saja
tamasha e asbab dekho
bazar aaye ho kuch lekar hi jana hai
sab kuch pane ki haDbaDi ke khilaf dekho
DanDi marne wale ka hisab aur udhaar dekho
chain kharid sako to kharid lo
bebasi bech pao to bech Dalo
kisi ki khair mein na sahi apne liye hi
lekar hath mein jalti ek mashal dekho
kabhi bazar mein khaDe hokar
bazar ke khilaf dekho
kabhi bazar mein khaDe hokar
bazar ke khilaf dekho
un chizon ke khilaf
jinhen pane ke liye aaye ho is taraf
zarurton ki gathri kandhe se utar dekho
kone mein khaDe hokar naqli chamak se saja
tamasha e asbab dekho
bazar aaye ho kuch lekar hi jana hai
sab kuch pane ki haDbaDi ke khilaf dekho
DanDi marne wale ka hisab aur udhaar dekho
chain kharid sako to kharid lo
bebasi bech pao to bech Dalo
kisi ki khair mein na sahi apne liye hi
lekar hath mein jalti ek mashal dekho
kabhi bazar mein khaDe hokar
bazar ke khilaf dekho
स्रोत :
रचनाकार : यतींद्र मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.