मुझे मुड़ती हुई सड़कों पर बहुत प्यार आता है।
वैसी सड़क,
जो मेरी बचपन के पसंदीदा बॉर्बी के कमर की तरह
बड़े करीने से मुड़ रही हो
जिस पर मैं लट्टुओं की तरह बेतरतीब चलता हूँ
कुलाँचे भरता हूँ
ऐसी चाल में चलता हूँ
कि कमर मटक जाती है
कि चलना ख़राब लग जाता है
यह सब कुछ इसलिए होता है
कि सड़क का मुड़ना
बॉर्बी की कमर जैसा समझ आता है
वैसा नहीं समझ आता,
जैसा है
अभी मुड़ती सड़कों पर प्यार करने का समय है।
इन पर चलने का समय अभी नहीं आया।
मेरी गुज़ारिश है
कि प्यार करने से थोड़ा समय बचाओ
और मुड़ती सड़कों पर साथ चलो।
आओ,
चलने के सहारे हम
खिलौनों के बैग तक पहुँचे
और उसमें की सारी गुड़ियों को छुपा दें
कि सड़क देखकर,
सिर्फ़ बॉर्बी के ही कमर का ख़्याल आए,
तो दोष ख़याल का नहीं,
खिलौनों का है।
उम्मीद करें कि हम आख़िरी पीढ़ी हों
जिन्हें बॉर्बी से प्यार था
mujhe muDti hui saDkon par bahut pyar aata hai
waisi saDak,
jo meri bachpan ke pasandida baurbi ke kamar ki tarah
baDe karine se muD rahi ho
jis par main lattuon ki tarah betartib chalta hoon
kulanche bharta hoon
aisi chaal mein chalta hoon
ki kamar matak jati hai
ki chalna kharab lag jata hai
ye sab kuch isliye hota hai
ki saDak ka muDna
baurbi ki kamar jaisa samajh aata hai
waisa nahin samajh aata,
jaisa hai
abhi muDti saDkon par pyar karne ka samay hai
in par chalne ka samay abhi nahin aaya
meri guzarish hai
ki pyar karne se thoDa samay bachao
aur muDti saDkon par sath chalo
ao,
chalne ke sahare hum
khilaunon ke bag tak pahunche
aur usmen ki sari guDiyon ko chhupa den
ki saDak dekhkar,
sirf baurbi ke hi kamar ka khyal aaye,
to dosh khayal ka nahin,
khilaunon ka hai
ummid karen ki hum akhiri piDhi hon
jinhen baurbi se pyar tha
mujhe muDti hui saDkon par bahut pyar aata hai
waisi saDak,
jo meri bachpan ke pasandida baurbi ke kamar ki tarah
baDe karine se muD rahi ho
jis par main lattuon ki tarah betartib chalta hoon
kulanche bharta hoon
aisi chaal mein chalta hoon
ki kamar matak jati hai
ki chalna kharab lag jata hai
ye sab kuch isliye hota hai
ki saDak ka muDna
baurbi ki kamar jaisa samajh aata hai
waisa nahin samajh aata,
jaisa hai
abhi muDti saDkon par pyar karne ka samay hai
in par chalne ka samay abhi nahin aaya
meri guzarish hai
ki pyar karne se thoDa samay bachao
aur muDti saDkon par sath chalo
ao,
chalne ke sahare hum
khilaunon ke bag tak pahunche
aur usmen ki sari guDiyon ko chhupa den
ki saDak dekhkar,
sirf baurbi ke hi kamar ka khyal aaye,
to dosh khayal ka nahin,
khilaunon ka hai
ummid karen ki hum akhiri piDhi hon
jinhen baurbi se pyar tha
स्रोत :
रचनाकार : शाश्वत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.