नवोदय में
हॉस्टल से मेस की जानिब
चलते हुए
एक मोड़ था
मोड़ मुड़ कर
खेल के मैदान में
बिल्कुल बीचोबीच में
पेड़ है एक बरगद का
छोटा
घना
जिसके साए में मेरा
वक़्त बीता है बहुत
लेकिन हमेशा
यही मैंने सोचा
कि इस जगह सुनसान में
बंजर ज़मीं चटियल मैदान में
मुझ-सा दीवाना है
तब ये पेड़ है।
उम्र की आँधियों में
ये पेड़ एक दिन
गिर पड़ेगा
मेरे बाद भी
दीवाने मगर
वहीं के वहीं रहेंगे।
देखता हूँ तो
आगे भी रास्ते हैं
रास्तों में मोड़ भी
मैदान भी
पेड़ नहीं कोई।
मिल जाएँगे मेहरबाँ
फिर भी हर मोड़ पर
पूछेगा ये दिल मेरा
वो जो एक छाँव थी
खो गई है कहाँ?
nawoday mein
hostel se mes ki janib
chalte hue
ek moD tha
moD muD kar
khel ke maidan mein
bilkul bichobich mein
peD hai ek bargad ka
chhota
ghana
jiske saye mein mera
waqt bita hai bahut
lekin hamesha
yahi mainne socha
ki is jagah sunsan mein
banjar zamin chatiyal maidan mein
mujh sa diwana hai
tab ye peD hai
umr ki andhiyon mein
ye peD ek din
gir paDega
mere baad bhi
diwane magar
wahin ke wahin rahenge
dekhta hoon to
age bhi raste hain
raston mein moD bhi
maidan bhi
peD nahin koi
mil jayenge mehrban
phir bhi har moD par
puchhega ye dil mera
wo jo ek chhanw thi
kho gai hai kahan?
nawoday mein
hostel se mes ki janib
chalte hue
ek moD tha
moD muD kar
khel ke maidan mein
bilkul bichobich mein
peD hai ek bargad ka
chhota
ghana
jiske saye mein mera
waqt bita hai bahut
lekin hamesha
yahi mainne socha
ki is jagah sunsan mein
banjar zamin chatiyal maidan mein
mujh sa diwana hai
tab ye peD hai
umr ki andhiyon mein
ye peD ek din
gir paDega
mere baad bhi
diwane magar
wahin ke wahin rahenge
dekhta hoon to
age bhi raste hain
raston mein moD bhi
maidan bhi
peD nahin koi
mil jayenge mehrban
phir bhi har moD par
puchhega ye dil mera
wo jo ek chhanw thi
kho gai hai kahan?
स्रोत :
रचनाकार : अबुल हाशिम ख़ान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.