लोक विश्वास है—
कि बनी हुई बाँबियों में साँप आकर रहने लगते हैं
विश्वास ही है—कौन जाने,
सच्चा है या झूठा?
पर बुज़ुर्ग कहते हैं
कि मन की बाँबी में
साँप आ जाते हैं कई
और डाल देते हैं डेरे
ऐसा ही एक साँप घमंड का
विषैला, डरावना
बार-बार आता है बाहर बाँबी में से
लोटता,
फुफकारता,
झूमता
डराता है
और मनुष्य हो जाता है लाचार
उसकी बातों में
सोचों में
विष सरकता उस साँप का प्रतिदिन/प्रतिपल
इसके विपरीत और होता है एक साँप
बैठा हुआ कुंडली मार हीन भावना के अँधेरे में
धीरे-धीरे, चुपचाप विष घुलता उसका
और भर देता मनुष्य की सोच में
झिझक और संकोच की सुस्ती।
साँप है एक और
बहुत मुलायम
धागे-सा पतला
छुप जाता दिखा झलक
हर वस्तु इसे लगे ख़तरनाक
साँप ये, डरपोक, अविश्वास भरा
अपनों परायों में न करे फ़र्क़
हर इक आहट पर
ध्वनि पर
हो जाए सतर्क
अविश्वास ही बन जाता है बेचैनी
इस बाँबी को जो पूरा घेर ले
होता है ऐसा भी
मोटा-ताज़ा भारी नाग एक
जो कुंडली ही नहीं खोलता
अँधेरे कोने में जो रहे बैठा
साँप है यह मूढ़ता का
मूढ़, मोटी बुद्धि वाला
आलोक नहीं भाता जिसे ज्ञान-विज्ञान का
सभी साँपों के हैं
रंग रूप भिन्न-भिन्न
स्वभाव अलग-अलग
समानता बस एक
कि ये रहते हैं एक ही जगह
मन की बाँबी में
और मनुष्य के अंतर्मन में,
दीमक ही दीमक है
अपरिपक्व विचारों की
अध-कच्ची सोचों की
दीमक है यह जब तक
खाने को मिलती रहेगी
साँप इन बाँबियों में से
कभी नहीं आएँगे/बाहर
अपरिपक्व विचारों से
दीमक को दोस्तो
मन में
बाँबियाँ
बनाने
मत
देना
तुम।
lok wishwas hai—
ki bani hui banbiyon mein sanp aakar rahne lagte hain
wishwas hi hai—kaun jane,
sachcha hai ya jhutha?
par buzurg kahte hain
ki man ki banbi mein
sanp aa jate hain kai
aur Dal dete hain Dere
aisa hi ek sanp ghamanD ka
wishaila, Darawna
bar bar aata hai bahar banbi mein se
lotta,
phuphkarta,
jhumta
Darata hai
aur manushya ho jata hai lachar
uski baton mein
sochon mein
wish sarakta us sanp ka pratidin pratipal
iske wiprit aur hota hai ek sanp
baitha hua kunDli mar heen bhawna ke andhere mein
dhire dhire, chupchap wish ghulta uska
aur bhar deta manushya ki soch mein
jhijhak aur sankoch ki susti
sanp hai ek aur
bahut mulayam
dhage sa patla
chhup jata dikha jhalak
har wastu ise lage khatarnak
sanp ye, Darpok, awishwas bhara
apnon parayon mein na kare farq
har ek aahat par
dhwani par
ho jaye satark
awishwas hi ban jata hai bechaini
is banbi ko jo pura gher le
hota hai aisa bhi
mota taza bhari nag ek
jo kunDli hi nahin kholta
andhere kone mein jo rahe baitha
sanp hai ye muDhta ka
mooDh, moti buddhiwala
alok nahin bhata jise gyan wigyan ka
sabhi sanpon ke hain
rang roop bhinn bhinn
swbhaw alag alag
samanata bus ek
ki ye rahte hain ek hi jagah
man ki banbi mein
aur manushya ke antarman mein,
dimak hi dimak hai
apripakw wicharon ki
adh kachchi sochon ki
dimak hai ye jab tak
khane ko milti rahegi
sanp in banbiyon mein se
kabhi nahin ayenge/bahar
apripakw wicharon se
dimak ko dosto
man mein
banbiyan
banane
mat
dena
tum
(mool shirshkah warmiye de sapp)
lok wishwas hai—
ki bani hui banbiyon mein sanp aakar rahne lagte hain
wishwas hi hai—kaun jane,
sachcha hai ya jhutha?
par buzurg kahte hain
ki man ki banbi mein
sanp aa jate hain kai
aur Dal dete hain Dere
aisa hi ek sanp ghamanD ka
wishaila, Darawna
bar bar aata hai bahar banbi mein se
lotta,
phuphkarta,
jhumta
Darata hai
aur manushya ho jata hai lachar
uski baton mein
sochon mein
wish sarakta us sanp ka pratidin pratipal
iske wiprit aur hota hai ek sanp
baitha hua kunDli mar heen bhawna ke andhere mein
dhire dhire, chupchap wish ghulta uska
aur bhar deta manushya ki soch mein
jhijhak aur sankoch ki susti
sanp hai ek aur
bahut mulayam
dhage sa patla
chhup jata dikha jhalak
har wastu ise lage khatarnak
sanp ye, Darpok, awishwas bhara
apnon parayon mein na kare farq
har ek aahat par
dhwani par
ho jaye satark
awishwas hi ban jata hai bechaini
is banbi ko jo pura gher le
hota hai aisa bhi
mota taza bhari nag ek
jo kunDli hi nahin kholta
andhere kone mein jo rahe baitha
sanp hai ye muDhta ka
mooDh, moti buddhiwala
alok nahin bhata jise gyan wigyan ka
sabhi sanpon ke hain
rang roop bhinn bhinn
swbhaw alag alag
samanata bus ek
ki ye rahte hain ek hi jagah
man ki banbi mein
aur manushya ke antarman mein,
dimak hi dimak hai
apripakw wicharon ki
adh kachchi sochon ki
dimak hai ye jab tak
khane ko milti rahegi
sanp in banbiyon mein se
kabhi nahin ayenge/bahar
apripakw wicharon se
dimak ko dosto
man mein
banbiyan
banane
mat
dena
tum
(mool shirshkah warmiye de sapp)
स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक डोगरी कविता चयनिका (पृष्ठ 55)
संपादक : ओम गोस्वामी
रचनाकार : रामनाथ शास्त्री
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.