माँ धीरे-धीरे जान गई थी
पिता की प्रेमिकाओं के नाम
जिन्हें छिपा रखा था पिता ने
पुरानी चिट्ठियों में
पढ़ी किताब के पन्नों पर
डायरी के बीच पड़े सूखे फूल के दाग़ में
छिटक पड़े थे कुछ नाम
घर के लोगों के मज़ाक़ से
रिश्तेदारों की दबी ज़बान से
जिन्हें आहिस्ते से माँ ने कानों में खोंस लिया था मोड़कर
माँ ने धीरे-धीरे जान लिया था
उन प्रेमिकाओं को भी
जिनके दिए फूल अभी मुर्झाए नहीं थे
जिनकी ख़ुशबू चिपकी हुई चली आती थी
अभी भी उनके साथ
पिता की कविताओं में तेज़ हो उठती थी
जिनकी साँसें कभी-कभी
माँ फिर भी करती रही हैं
पिता की देखभाल
साझा बिस्तर
उसने निभाए हैं सारे फ़र्ज़
जो उसकी माँ ने सिखाए
सिखाए सास और देयादिन ने
माँ पिता से करती है प्यार सचमुच
बस कभी-कभी तेज़ हो जाती उसके कमरे में
उसकी आवाज़
जिसे वह हमेशा दबाकर रखती है पिता के सामने
पिता ने एक पुरुष को मिले
सारे हुक्म चलाए हैं माँ पर
पिता ने कभी कोई थप्पड़ नहीं चलाया पर
जिसकी चटाक में
गूँजा हो किसी ग़ैर पुरुष के नाम का संदेह
मेरा प्यार
छोड़ गया है टूटकर मुझे अभी-अभी
वह अपने पति से करेगी मेरा ज़िक्र कभी
ऐसा नहीं सोच पाता हूँ
आजकल माँ को
जाने क्यों
ज़्यादा ध्यान से देखता हूँ
मैंने अभी-अभी
चुपके से पढ़ी हैं दुबारा
बक्से में बंद माँ की चिट्ठियाँ
जो उसने अपनी प्रिय सखी को लिखी थीं
शादी के बाद जिनसे वह कभी न मिल सकी
जो चिट्ठियाँ कभी भेजी न जा सकीं
man dhire dhire jaan gai thi
pita ki premikaon ke nam
jinhen chhipa rakha tha pita ne
purani chitthiyon mein
paDhi kitab ke pannon par
Diary ke beech paDe sukhe phool ke dagh mein
chhitak paDe the kuch nam
ghar ke logon ke mazaq se
rishtedaron ki dabi zaban se
jinhen ahiste se man ne kanon mein khons liya tha moDkar
man ne dhire dhire jaan liya tha
un premikaon ko bhi
jinke diye phool abhi murjhaye nahin the
jinki khushbu chipki hui chali aati thi
abhi bhi unke sath
pita ki kawitaon mein tez ho uthti thi
jinki sansen kabhi kabhi
man phir bhi karti rahi hain
pita ki dekhbhal
sajha bistar
usne nibhaye hain sare farz
jo uski man ne sikhaye
sikhaye sas aur deyadin ne
man pita se karti hai pyar sachmuch
bus kabhi kabhi tez ho jati uske kamre mein
uski awaz
jise wo hamesha dabakar rakhti hai pita ke samne
pita ne ek purush ko mile
sare hukm chalaye hain man par
pita ne kabhi koi thappaD nahin chalaya par
jiski chatak mein
gunja ho kisi ghair purush ke nam ka sandeh
mera pyar
chhoD gaya hai tutkar mujhe abhi abhi
wo apne pati se karegi mera zikr kabhi
aisa nahin soch pata hoon
ajkal man ko
jane kyon
zyada dhyan se dekhta hoon
mainne abhi abhi
chupke se paDhi hain dubara
bakse mein band man ki chitthiyan
jo usne apni priy sakhi ko likhi theen
shadi ke baad jinse wo kabhi na mil saki
jo chitthiyan kabhi bheji na ja sakin
man dhire dhire jaan gai thi
pita ki premikaon ke nam
jinhen chhipa rakha tha pita ne
purani chitthiyon mein
paDhi kitab ke pannon par
Diary ke beech paDe sukhe phool ke dagh mein
chhitak paDe the kuch nam
ghar ke logon ke mazaq se
rishtedaron ki dabi zaban se
jinhen ahiste se man ne kanon mein khons liya tha moDkar
man ne dhire dhire jaan liya tha
un premikaon ko bhi
jinke diye phool abhi murjhaye nahin the
jinki khushbu chipki hui chali aati thi
abhi bhi unke sath
pita ki kawitaon mein tez ho uthti thi
jinki sansen kabhi kabhi
man phir bhi karti rahi hain
pita ki dekhbhal
sajha bistar
usne nibhaye hain sare farz
jo uski man ne sikhaye
sikhaye sas aur deyadin ne
man pita se karti hai pyar sachmuch
bus kabhi kabhi tez ho jati uske kamre mein
uski awaz
jise wo hamesha dabakar rakhti hai pita ke samne
pita ne ek purush ko mile
sare hukm chalaye hain man par
pita ne kabhi koi thappaD nahin chalaya par
jiski chatak mein
gunja ho kisi ghair purush ke nam ka sandeh
mera pyar
chhoD gaya hai tutkar mujhe abhi abhi
wo apne pati se karegi mera zikr kabhi
aisa nahin soch pata hoon
ajkal man ko
jane kyon
zyada dhyan se dekhta hoon
mainne abhi abhi
chupke se paDhi hain dubara
bakse mein band man ki chitthiyan
jo usne apni priy sakhi ko likhi theen
shadi ke baad jinse wo kabhi na mil saki
jo chitthiyan kabhi bheji na ja sakin
स्रोत :
रचनाकार : ऋतेश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.