हत्यारे के खूँटे में बँधी बकरी
बड़े चाव से खा रही है घास और पत्तियाँ
पेट भरने के बाद आराम से बैठकर पगुरा रही है
बीच-बीच में स्वयं से बोल-बतिया रही है
हत्यारा सोचता है—वह मिमिया रही है
बकरी हत्यारे की भाषा नहीं समझती
जिस तरह हत्यारा नहीं समझता बकरी की भाषा
हत्यारा अगर समझ लेता बकरी की भाषा
तो अपना चाकू फेंक देता अंगुलिमाल की तरह
बकरी अगर समझ लेती हत्यारे की भाषा तो वह
अपनी हत्या के पहले ही हदस से मर जाती
हत्यारा बकरी में मांस देखता है
और बकरी हत्यारे का प्यार देखती है
वह समझती है कितना प्यारा है यह आदमी
जो उसे देता है हर दिन हरा-हरा, ताज़ा चारा
हत्यारे के मन में हरदम बकरी के भाग जाने का भय है
इसीलिए वह रस्सी से बाँध,
बकरी को बंद कर रखता है घर में
बंदिनी बकरी फाटक के अंदर एकाध बार मिमियाती है
हत्यारा समझता है बकरी डर कर चिल्लाती है
उसे यह कहाँ पता कि बकरी को मौत का बिल्कुल ख़ौफ़ नहीं है
हत्यारा बकरी की भाषा अंत तक नहीं समझ पाता
बकरी हत्यारे के प्यार को अंत तक नहीं भूल पाती।
hatyare ke khunte mein bandhi bakri
baDe chaw se kha rahi hai ghas aur pattiyan
pet bharne ke baad aram se baithkar pagura rahi hai
beech beech mein swayan se bol batiya rahi hai
hatyara sochta hai—wah mimiya rahi hai
bakri hatyare ki bhasha nahin samajhti
jis tarah hatyara nahin samajhta bakri ki bhasha
hatyara agar samajh leta bakri ki bhasha
to apna chaku phenk deta angulimal ki tarah
bakri agar samajh leti hatyare ki bhasha to wo
apni hattya ke pahle hi hadas se mar jati
hatyara bakri mein mans dekhta hai
aur bakri hatyare ka pyar dekhti hai
wo samajhti hai kitna pyara hai ye adami
jo use deta hai har din hara hara, taza chara
hatyare ke man mein hardam bakri ke bhag jane ka bhay hai
isiliye wo rassi se bandh,
bakri ko band kar rakhta hai ghar mein
bandini bakri phatak ke andar ekadh bar mimiyati hai
hatyara samajhta hai bakri Dar kar chillati hai
use ye kahan pata ki bakri ko maut ka bilkul khauf nahin hai
hatyara bakri ki bhasha ant tak nahin samajh pata
bakri hatyare ke pyar ko ant tak nahin bhool pati

स्रोत :
रचनाकार : ललन चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.