खिड़की से देखने पर
डूबता सूरज किस तरह का दिखता होगा
और उगता सूर्य
खिड़की के उस पार अपनी लालिमा के साथ कैसा लगता होगा
हवा जब ज़ोर से बहती होगी
और पेड़ टूट जाने की हद तक झूमने लगते होंगे तब
वह खिड़की से देखने पर कैसा दिखता होगा
दुपहर की धूप में जब
वृक्ष पर फल पक रहा होगा
और पत्तियाँ
खाने का सामान जुटा रही होंगी
खिड़की से देखने पर यह दृश्य कैसा दिखता होगा
दरवाज़े की बैठकी से
हँसी की आवाज़ आ रही है
जो चेहरे हँस रहे होंगे
उन चेहरों का भाव कैसा होगा
क्या हँसते हुए उनके जबड़े खुल जाते होंगे
क्या उनकी तोंद हिलने लगती होगी
अमरूद के पेड़ पर कोई चिड़िया चहक रही है
वह कौन-सी चिड़िया होगी
क्या सुग्गा
या मैना
लगता तो कोई और ही है!
khiDki se dekhne par
Dubta suraj kis tarah ka dikhta hoga
aur ugta surya
khiDki ke us par apni lalima ke sath kaisa lagta hoga
hawa jab zor se bahti hogi
aur peD toot jane ki had tak jhumne lagte honge tab
wo khiDki se dekhne par kaisa dikhta hoga
duphar ki dhoop mein jab
wriksh par phal pak raha hoga
aur pattiyan
khane ka saman juta rahi hongi
khiDki se dekhne par ye drishya kaisa dikhta hoga
darwaze ki baithaki se
hansi ki awaz aa rahi hai
jo chehre hans rahe honge
un chehron ka bhaw kaisa hoga
kya hanste hue unke jabDe khul jate honge
kya unki tond hilne lagti hogi
amrud ke peD par koi chiDiya chahak rahi hai
wo kaun si chiDiya hogi
kya sugga
ya maina
lagta to koi aur hi hai!
khiDki se dekhne par
Dubta suraj kis tarah ka dikhta hoga
aur ugta surya
khiDki ke us par apni lalima ke sath kaisa lagta hoga
hawa jab zor se bahti hogi
aur peD toot jane ki had tak jhumne lagte honge tab
wo khiDki se dekhne par kaisa dikhta hoga
duphar ki dhoop mein jab
wriksh par phal pak raha hoga
aur pattiyan
khane ka saman juta rahi hongi
khiDki se dekhne par ye drishya kaisa dikhta hoga
darwaze ki baithaki se
hansi ki awaz aa rahi hai
jo chehre hans rahe honge
un chehron ka bhaw kaisa hoga
kya hanste hue unke jabDe khul jate honge
kya unki tond hilne lagti hogi
amrud ke peD par koi chiDiya chahak rahi hai
wo kaun si chiDiya hogi
kya sugga
ya maina
lagta to koi aur hi hai!
स्रोत :
रचनाकार : मिथिलेश कुमार राय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.