बच्चों के बारे में
बनाई गईं ढेर सारी योजनाएँ
ढेर सारी कविताएँ
लिखी गईं बच्चों के बारे में
बच्चों के लिए
खोले गए ढेर सारे स्कूल
ढेर सारी किताबें
बाँटी गईं बच्चों के लिए
बच्चे बड़े हुए
जहाँ थे
वहाँ से उठ खड़े हुए बच्चे
बच्चों में से कुछ बच्चे
हुए बनिया हाकिम
और दलाल
हुए मालामाल और ख़ुशहाल
बाक़ी बच्चों ने
सड़क पर कंकड़ कूटा
दुकानों में प्यालियाँ धोईं
साफ़ किया टट्टीघर
खाए तमाचे
बाज़ार में बिके कौड़ियों के मोल
गटर में गिर पड़े
बच्चों में से कुछ बच्चों ने
आगे चलकर
फिर बनाईं योजनाएँ
बच्चों के बारे में
कविताएँ लिखीं
स्कूल खोले
किताबें बाँटीं
बच्चों के लिए।
bachchon ke bare mein
banai gain Dher sari yojnayen
Dher sari kawitayen
likhi gain bachchon ke bare mein
bachchon ke liye
khole gaye Dher sare school
Dher sari kitaben
banti gain bachchon ke liye
bachche baDe hue
jahan the
wahan se uth khaDe hue bachche
bachchon mein se kuch bachche
hue baniya hakim
aur dalal
hue malamal aur khushhal
baqi bachchon ne
saDak par kankaD kuta
dukanon mein pyaliyan dhoin
saf kiya tattighar
khaye tamache
bazar mein bike kauDiyon ke mol
gutter mein gir paDe
bachchon mein se kuch bachchon ne
age chalkar
phir banain yojnayen
bachchon ke bare mein
kawitayen likhin
school khole
kitaben bantin
bachchon ke liye
bachchon ke bare mein
banai gain Dher sari yojnayen
Dher sari kawitayen
likhi gain bachchon ke bare mein
bachchon ke liye
khole gaye Dher sare school
Dher sari kitaben
banti gain bachchon ke liye
bachche baDe hue
jahan the
wahan se uth khaDe hue bachche
bachchon mein se kuch bachche
hue baniya hakim
aur dalal
hue malamal aur khushhal
baqi bachchon ne
saDak par kankaD kuta
dukanon mein pyaliyan dhoin
saf kiya tattighar
khaye tamache
bazar mein bike kauDiyon ke mol
gutter mein gir paDe
bachchon mein se kuch bachchon ne
age chalkar
phir banain yojnayen
bachchon ke bare mein
kawitayen likhin
school khole
kitaben bantin
bachchon ke liye
स्रोत :
पुस्तक : समय का पहिया (पृष्ठ 47)
रचनाकार : गोरख पांडेय
प्रकाशन : संवाद प्रकाशन
संस्करण : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.