बाबूजी क़लम घिसते रहे काग़ज़ पर
ज़िंदगी भर
और चप्पल ज़मीन पर
वे रेलवे में किरानी थे
कहलाते थे बड़ा बाबू
उनकी औक़ात जितनी छोटी थी
सपने उतने ही बड़े थे
और उसमें मैं था, सिर्फ़ मैं
किसी शिखर पर
इंजीनियर से नीचे की बात
वे सोच ही नहीं पाते थे
ऐसे ही सपने थे बाबूजी के
जिसमें वे जीते थे
लोटते-पोटते थे
पर वे रेल-प्रशासन को
अन्याई से कम नहीं समझते
उनकी आँखों पर चश्मे का
ग्लास दिन-दिन मोटा होता जाता
पर पगार इतनी पतली
कि ज़िंदगी उसी में अड़स जाती
इसीलिए जब भी मज़दूरों का आंदोलन होता
पगार बढ़ाने के लिए हड़ताल होती
‘ज़िंदाबाद-मुर्दाबाद’ करते वे अक्सर देखे जाते
उनके कंधे पर शान से लहराता
यूनियन का झंडा
लाल झंडा!
एक वक्त ऐसा भी आया
जब सरकार ने छात्रों की
बेइंतहाँ फ़ीस बढ़ा दी
फिर क्या?
फूट पड़ा छात्र आंदोलन
मैं आंदोलनकारी बाप का बेटा
कैसे ख़ामोश रहता
कूद पड़ा
मैं भी करने लगा ‘ज़िंदाबाद-मुर्दाबाद’
मेरे कंधे पर भी लहरा उठा झंडा
छात्रों के प्रतिरोध का झंडा!
बाबूजी की प्रतिक्रिया स्तब्ध कर देने वाली थी
आव न देखा ताव
वे टूट पड़े मेरे कंधे पर लहरा रहे झंडे पर
चिद्दी-चिद्दी कर डाली
वे काँप रहे थे ग़ुस्से में थर-थर
सब पर उतर रहा था
सबसे ज़्यादा अम्मा पर
वे बड़बड़ाते रहे और काँपते रहे
वे काँपते रहे और बड़बड़ाते रहे
हमने देखा
उस दिन बाबूजी ने अन्न को हाथ नहीं लगाया
अकेले टहलते रहे छत पर
अपने अकेलेपन से बतियाते रहे
उनकी यह बेचैनी
शिखर से मेरे गिर जाने की थी
या उनके सपने के
असमय टूट जाने की था
वह अमावस्या की रात थी
बाबूजी मोतियों की जिस माला को गूँथ रहे थे
वह टूटकर-बिखर चुकी थीं
मोतियाँ गुम हो गई थीं
उस अँधेरे में!
babuji qalam ghiste rahe kaghaz par
zindagi bhar
aur chappal zamin par
ve relve mein kirani the
kahlate the baDa babu
unki auqat jitni chhoti thi
sapne utne hi baDe the
aur usmen main tha, sirf main
kisi shikhar par
injiniyar se niche ki baat
ve soch hi nahin pate the
aise hi sapne the babuji ke
jismen ve jite the
lotte potte the
par ve rel prashasan ko
anyayi se kam nahin samajhte
unki ankhon par chashme ka
glaas din din mota hota jata
par pagar itni patli
ki zindagi usi mein aDas jati
isiliye jab bhi mazduron ka andolan hota
pagar baDhane ke liye haDtal hoti
‘zindabad murdabad’ karte ve aksar dekhe jate
unke kandhe par shaan se lahrata
yuniyan ka jhanDa
laal jhanDa!
ek vakt aisa bhi aaya
jab sarkar ne chhatron ki
beinthan fees baDha di
phir kyaa?
phoot paDa chhaatr andolan
main andolankari baap ka beta
kaise khamosh rahta
kood paDa
main bhi karne laga ‘zindabad murdabad’
mere kandhe par bhi lahra utha jhanDa
chhatron ke pratirodh ka jhanDa!
babuji ki pratikriya stabdh kar dene vali thi
aav na dekha taav
ve toot paDe mere kandhe par lahra rahe jhanDe par
chiddi chiddi kar Dali
ve kaanp rahe the ghusse mein thar thar
sab par utar raha tha
sabse zyada amma par
ve baDbaDate rahe aur kanpte rahe
ve kanpte rahe aur baDbaDate rahe
hamne dekha
us din babuji ne ann ko haath nahin lagaya
akele tahalte rahe chhat par
apne akelepan se batiyate rahe
unki ye bechaini
shikhar se mere gir jane ki thi
ya unke sapne ke
asamay toot jane ki tha
wo amavasya ki raat thi
babuji motiyon ki jis mala ko goonth rahe the
wo tutkar bikhar chuki theen
motiyan gum ho gai theen
us andhere men!
babuji qalam ghiste rahe kaghaz par
zindagi bhar
aur chappal zamin par
ve relve mein kirani the
kahlate the baDa babu
unki auqat jitni chhoti thi
sapne utne hi baDe the
aur usmen main tha, sirf main
kisi shikhar par
injiniyar se niche ki baat
ve soch hi nahin pate the
aise hi sapne the babuji ke
jismen ve jite the
lotte potte the
par ve rel prashasan ko
anyayi se kam nahin samajhte
unki ankhon par chashme ka
glaas din din mota hota jata
par pagar itni patli
ki zindagi usi mein aDas jati
isiliye jab bhi mazduron ka andolan hota
pagar baDhane ke liye haDtal hoti
‘zindabad murdabad’ karte ve aksar dekhe jate
unke kandhe par shaan se lahrata
yuniyan ka jhanDa
laal jhanDa!
ek vakt aisa bhi aaya
jab sarkar ne chhatron ki
beinthan fees baDha di
phir kyaa?
phoot paDa chhaatr andolan
main andolankari baap ka beta
kaise khamosh rahta
kood paDa
main bhi karne laga ‘zindabad murdabad’
mere kandhe par bhi lahra utha jhanDa
chhatron ke pratirodh ka jhanDa!
babuji ki pratikriya stabdh kar dene vali thi
aav na dekha taav
ve toot paDe mere kandhe par lahra rahe jhanDe par
chiddi chiddi kar Dali
ve kaanp rahe the ghusse mein thar thar
sab par utar raha tha
sabse zyada amma par
ve baDbaDate rahe aur kanpte rahe
ve kanpte rahe aur baDbaDate rahe
hamne dekha
us din babuji ne ann ko haath nahin lagaya
akele tahalte rahe chhat par
apne akelepan se batiyate rahe
unki ye bechaini
shikhar se mere gir jane ki thi
ya unke sapne ke
asamay toot jane ki tha
wo amavasya ki raat thi
babuji motiyon ki jis mala ko goonth rahe the
wo tutkar bikhar chuki theen
motiyan gum ho gai theen
us andhere men!
स्रोत :
रचनाकार : कौशल किशोर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.