मैं चुप क्यों हो गया
बात के ख़त्म होते न होते
या शायद
मैं बात पूरी कर चुका
कई लोग उठकर चले गए हैं
कई को मेरी बात से गुज़रते
संकोच हो रहा है
देख सकता हूँ
कुछ की पुतलियाँ
आँखों से गिर चुकी हैं
मेरी बात के ख़त्म होते न होते
बात ख़त्म हो गई है
लेकिन उसके होने में जबकि
काफ़ी समय बचा है
यों मैंने ठिकाने की
कितनी बातें कीं
मैं नहीं जानता
लेकिन मैंने कहा था
यह जो मैं कह रहा हूँ
शब्द कुछ मेरे भोगे हुए हैं
उन्हें सुनकर
या चुनकर नहीं कहा है
मैंने कहा
ज़रा सोचो
इतने सोचने में ही
शायद ज़्यादा सोचना हो जाए
मैंने ज़ोर से भी कहा।
main chup kyon ho gaya
baat ke khatm hote na hote
ya shayad
main baat puri kar chuka
kai log uthkar chale gaye hain
kai ko meri baat se guzarte
sankoch ho raha hai
dekh sakta hoon
kuch ki putliyan
ankhon se gir chuki hain
meri baat ke khatm hote na hote
baat khatm ho gai hai
lekin uske hone mein jabki
kafi samay bacha hai
yon mainne thikane ki
kitni baten keen
main nahin janta
lekin mainne kaha tha
ye jo main kah raha hoon
shabd kuch mere bhoge hue hain
unhen sunkar
ya chunkar nahin kaha hai
mainne kaha
zara socho
itne sochne mein hi
shayad zyada sochna ho jaye
mainne zor se bhi kaha
main chup kyon ho gaya
baat ke khatm hote na hote
ya shayad
main baat puri kar chuka
kai log uthkar chale gaye hain
kai ko meri baat se guzarte
sankoch ho raha hai
dekh sakta hoon
kuch ki putliyan
ankhon se gir chuki hain
meri baat ke khatm hote na hote
baat khatm ho gai hai
lekin uske hone mein jabki
kafi samay bacha hai
yon mainne thikane ki
kitni baten keen
main nahin janta
lekin mainne kaha tha
ye jo main kah raha hoon
shabd kuch mere bhoge hue hain
unhen sunkar
ya chunkar nahin kaha hai
mainne kaha
zara socho
itne sochne mein hi
shayad zyada sochna ho jaye
mainne zor se bhi kaha
स्रोत :
पुस्तक : रूपिन-सूपिन (पृष्ठ 115)
रचनाकार : प्रमोद कौंसवाल
प्रकाशन : आधार प्रकाशन
संस्करण : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.