वह जो काला चश्मा चढ़ाए चला रही है कार
वह जो रनिंग ट्रैक पर चल रही रुक रही बार-बार
वह भी जो देर तक गला रही दाल को गाढ़ा कर रही
वह भी जो बेवजह सेल्फ़ियों में मुँह सीधा-आड़ा कर रही
वे मंदिर के दीये की तरह बुझ रही हैं
वे मिट्टी से बनी थीं
वे नहीं चढ़ाई जा रहीं मोहब्बत के चाक पर
न किसी स्पर्श के सम्मोहन से गढ़ी जा रहीं
न एहतियात से उतारी जा रहीं
न धूप का स्वाद चख रहीं
न नज़र भर टिक रहीं
वे ढलती उमर पर उफनती नदियों से
किसी खोह में समा रहीं
वे तुम्हें रत्ती भर भी समझ नहीं आ रहीं
शरीर में पैदा हुईं तमाम नन्ही-मुन्नी बीमारियों पर ख़ुद मरहम लगा रहीं
वे ही जिनकी उदासी अब तुम्हारे घर में भी नहीं समा रही
वे आहत की राह देख रहीं
वे चाहत के ख़्वाब देख रहीं
वे चाहती हैं प्यार पाना
वे चाहती हैं तुम्हारे कौर से खाना
वे चाहती हैं तुम्हारी सुबह में याद-सी शुमार हो जाएँ
वे चाहती हैं जो पूछते रहो तुम इनका हाल वे बीमार हो जाएँ
वे चुक गई कमज़ोर डोरियों-सी किसी छत पर काँप रही हैं
वे डरती हैं अकेले सिर्फ़ इसलिए ये मंत्र जप रही हैं
सरकार को करना चाहिए इस ओर काम
रखना चाहिए उदास औरतों का ध्यान
नौकरी में भर्ती करने चाहिए ऐसे इंसान
जिनके दिल की धड़कनों के पार वे ख़्वाब देख आएँ
अपनी उदासी को वे किसी हरे-नीले डब्बे में फेंक आएँ
सुबह और शाम इनकी ख़ैरियत पूछी जाए
रात माथे पर रख दिया जाए एक प्रेमिल चुंबन
चादर को कंधे तक ओढ़ाया जाए
घर की दीवारों से उतरती आवाज़ सरसराए
तुमसे ही घर है मेरी जान
तुमसे ही ज़िंदा है मुहब्बत
ये जो पेशानी पर उभरी लकीरें हैं न
इन पर ही चल रहा हूँ
स्याह तालाब-सी आँखों में डूबती-उतरती शाम का हिसाब रखता हूँ
इतनी उदास मत रहो :
ढह जाएगा मेरा मकान
बोलने को और भी झूठ बोल सकते हो तुम
पर वे ज़रा-सी बात पे मान जाएँगी
ये ज़रा-सी बात को तरसी औरतों की उदास शाम है
ये इतनी उदासी लिए आख़िर कहाँ जाएँगी...
wo jo kala chashma chaDhaye chala rahi hai kar
wo jo raning track par chal rahi ruk rahi bar bar
wo bhi jo der tak gala rahi dal ko gaDha kar rahi
wo bhi jo bewajah selfiyon mein munh sidha aaDa kar rahi
we mandir ke diye ki tarah bujh rahi hain
we mitti se bani theen
we nahin chaDhai ja rahin mohabbat ke chaak par
na kisi sparsh ke sammohan se gaDhi ja rahin
na ehtiyat se utari ja rahin
na dhoop ka swad chakh rahin
na nazar bhar tik rahin
we Dhalti umar par uphanti nadiyon se
kisi khoh mein sama rahin
we tumhein ratti bhar bhi samajh nahin aa rahin
sharir mein paida huin tamam nannhi munni bimariyon par khu marham laga rahin
we hi jinki udasi ab tumhare ghar mein bhi nahin sama rahi
we aahat ki rah dekh rahin
we chahat ke khwab dekh rahin
we chahti hain pyar pana
we chahti hain tumhare kaur se khana
we chahti hain tumhari subah mein yaad si shumar ho jayen
we chahti hain jo puchhte raho tum inka haal we bimar ho jayen
we chuk gai kamzor Doriyon si kisi chhat par kanp rahi hain
we Darti hain akele sirf isliye ye mantr jap rahi hain
sarkar ko karna chahiye is or kaam
rakhna chahiye udas aurton ka dhyan
naukari mein bharti karne chahiye aise insan
jinke dil ki dhaDaknon ke par we khwab dekh ayen
apni udasi ko we kisi hare nile Dabbe mein phenk ayen
subah aur sham inki khairiyat puchhi jaye
raat mathe par rakh diya jaye ek premil chumban
chadar ko kandhe tak oDhaya jaye
ghar ki diwaron se utarti awaz sarsaraye
tumse hi ghar hai meri jaan
tumse hi zinda hai muhabbat
ye jo peshani par ubhri lakiren hain na
in par hi chal raha hoon
syah talab si ankhon mein Dubti utarti sham ka hisab rakhta hoon
itni udas mat raho ha
Dah jayega mera makan
bolne ko aur bhi jhooth bol sakte ho tum
par we zara si baat pe man jayengi
ye zara si baat ko tarsi aurton ki udas sham hai
ye itni udasi liye akhir kahan jayengi

स्रोत :
रचनाकार : शैलजा पाठक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.