हम दर्द की नदी पर रिश्तों का पुल बनाए खड़े हैं
हमारी मुस्कान में दबी है हृदय की असंख्य चीत्कारें
विजय के दंभ में फूली हमारी कल्पनाएँ
कछुए की पीठ हो चुकी हैं
हम अपनी कुरूपताओं पर संगमरमर का लेप लगाकर
मुग्ध होने वाली पीढ़ी हैं
युद्ध और शांति हमारे लूडो पर चित्रित साँप-सीढ़ी है
हमारी पशुता देवत्व के ज़िरहबख़्तर में कसी है
हमारी समूची सभ्यता कंटक-आख्यान में धँसी है
अहिंसा की भव्यता में छिपे हैं किसी कलिंग के खंडहर
हर महाप्रस्थान में छिपा है एक महाभारत का प्रायश्चित
hum dard ki nadi par rishton ka pul banaye khaDe hain
hamari muskan mein dabi hai hirdai ki asankhya chitkaren
wijay ke dambh mein phuli hamari kalpnayen
kachhue ki peeth ho chuki hain
hum apni kuruptaon par sangamarmar ka lep lagakar
mugdh hone wali piDhi hain
yudh aur shanti hamare luDo par chitrit sanp siDhi hai
hamari pashuta dewatw ke zirahbakhtar mein kasi hai
hamari samuchi sabhyata kantak akhyan mein dhansi hai
ahinsa ki bhawyata mein chhipe hain kisi kaling ke khanDhar
har mahaprasthan mein chhipa hai ek mahabharat ka prayashchit

स्रोत :
रचनाकार : जावेद आलम ख़ान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.