अपने को
कठोर गद्य के हवाले कर दूँगा
सुइयाँ चुभाऊँगा अतीत में
बताऊँगा पुरखे कहाँ-कहाँ थे
और मैं यहाँ कैसे आया
सुरंग बनाऊँगा अपने भीतर
कुचले हुए स्वप्न को
सामने खींचकर लाऊँगा
मित्रता और शत्रुता की
गाथा रचूँगा
कुछ स्त्रियों की छवि ऊँची करूँगा
और कुछ के लिए ओछी बातें करूँगा
कैसी-कैसी कमज़ोरियों से गुज़रा हूँ
कितने अवसरों पर कितना निहत्था हुआ हूँ
कब-कब मतलबी होना पड़ा
सब लिखूँगा
भ्रम में मत रहना
तुम्हारे बारे में भी कुछ लिख दूँगा
हत्या और आत्महत्या से गुज़रना जो है मुझे।
apne ko
kathor gady ke hawale kar dunga
suiyan chubhaunga atit mein
bataunga purkhe kahan kahan the
aur main yahan kaise aaya
surang banaunga apne bhitar
kuchle hue swapn ko
samne khinchkar launga
mitrata aur shatruta ki
gatha rachunga
kuch striyon ki chhawi unchi karunga
aur kuch ke liye ochhi baten karunga
kaisi kaisi kamzoriyon se guzra hoon
kitne awasron par kitna nihattha hua hoon
kab kab matlabi hona paDa
sab likhunga
bhram mein mat rahna
tumhare bare mein bhi kuch likh dunga
hattya aur atmahatya se guzarna jo hai mujhe
apne ko
kathor gady ke hawale kar dunga
suiyan chubhaunga atit mein
bataunga purkhe kahan kahan the
aur main yahan kaise aaya
surang banaunga apne bhitar
kuchle hue swapn ko
samne khinchkar launga
mitrata aur shatruta ki
gatha rachunga
kuch striyon ki chhawi unchi karunga
aur kuch ke liye ochhi baten karunga
kaisi kaisi kamzoriyon se guzra hoon
kitne awasron par kitna nihattha hua hoon
kab kab matlabi hona paDa
sab likhunga
bhram mein mat rahna
tumhare bare mein bhi kuch likh dunga
hattya aur atmahatya se guzarna jo hai mujhe
स्रोत :
रचनाकार : सुधीर रंजन सिंह
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.