मेरा बेटा एक खेल खेलता है
चिड़िया उड़ और मुझसे जीत जाता है
और मुझे लगता है
आस्था को चिड़िया की उड़ान के साथ देखना चाहिए
भले ही वह मेरी आस्था की हार के साथ
जुड़ा हो
या ऐसा भी कर सकते हैं
कि उड़ान की मुस्कुराहट में चिड़िया को आस्था के साथ
संवाद करते हुए देखते हैं
अब यहाँ दिक़्क़त यह है कि लिखना पड़ रहा है
कि बहेलिए की आस्था उसकी कल्पना में
चिड़िया की मृत्यु के साथ
संवाद कर रही है
या ऐसा कुछ करने का मन न करे
तो नींद में चले जाना चाहिए
और आस्था को पुरोहितों के साथ
गप्पें मारने के सपने देखना चाहिए
यह काम देवगणों के साथ भी किया जा सकता है
वैसे देवगणों के साथ आस्था वाले खेल खेलने का
अलग ही मज़ा है
अगर शासकों वाले विचार विनिमय में आवाजाही करें
तो एक विचार यह भी निकलकर आता है कि
आस्था को हथियार बनाकर हत्या भी की जा सकती है
अब तो इसके प्रमाण हर गली-नुक्कड़ पर दिखाई देते हैं
मैं तो रात-बिरात आज भी
उस बूढ़े बरगद के रोने की आवाज़ सुनता हूँ
जिसकी गवाही न्यायालय में
कोई मायने नहीं रखती
तो मित्रों लब्बोलुबाब यह कि
आस्था की मुस्कुराहट के कई मायने हैं
और इस भ्रम में तो क़तई नहीं रहना चाहिए कि
सभी तरह की मुस्कुराहटों की भाषा
एक होती है
mera beta ek khel khelta hai
chiDiya uD aur mujhse jeet jata hai
aur mujhe lagta hai
astha ko chiDiya ki uDan ke sath dekhana chahiye
bhale hi wo meri astha ki haar ke sath
juDa ho
ya aisa bhi kar sakte hain
ki uDan ki muskurahat mein chiDiya ko astha ke sath
sanwad karte hue dekhte hain
ab yahan diqqat ye hai ki likhna paD raha hai
ki baheliye ki astha uski kalpana mein
chiDiya ki mirtyu ke sath
sanwad kar rahi hai
ya aisa kuch karne ka man na kare
to neend mein chale jana chahiye
aur astha ko purohiton ke sath
gappen marne ke sapne dekhana chahiye
ye kaam dewagnon ke sath bhi kiya ja sakta hai
waise dewagnon ke sath astha wale khel khelne ka
alag hi maza hai
agar shaskon wale wichar winimay mein awajahi karen
to ek wichar ye bhi nikalkar aata hai ki
astha ko hathiyar banakar hattya bhi ki ja sakti hai
ab to iske praman har gali nukkaD par dikhai dete hain
main to raat birat aaj bhi
us buDhe bargad ke rone ki awaz sunta hoon
jiski gawahi nyayalay mein
koi mayne nahin rakhti
to mitron labbolubab ye ki
astha ki muskurahat ke kai mayne hain
aur is bhram mein to qati nahin rahna chahiye ki
sabhi tarah ki muskurahton ki bhasha
ek hoti hai
mera beta ek khel khelta hai
chiDiya uD aur mujhse jeet jata hai
aur mujhe lagta hai
astha ko chiDiya ki uDan ke sath dekhana chahiye
bhale hi wo meri astha ki haar ke sath
juDa ho
ya aisa bhi kar sakte hain
ki uDan ki muskurahat mein chiDiya ko astha ke sath
sanwad karte hue dekhte hain
ab yahan diqqat ye hai ki likhna paD raha hai
ki baheliye ki astha uski kalpana mein
chiDiya ki mirtyu ke sath
sanwad kar rahi hai
ya aisa kuch karne ka man na kare
to neend mein chale jana chahiye
aur astha ko purohiton ke sath
gappen marne ke sapne dekhana chahiye
ye kaam dewagnon ke sath bhi kiya ja sakta hai
waise dewagnon ke sath astha wale khel khelne ka
alag hi maza hai
agar shaskon wale wichar winimay mein awajahi karen
to ek wichar ye bhi nikalkar aata hai ki
astha ko hathiyar banakar hattya bhi ki ja sakti hai
ab to iske praman har gali nukkaD par dikhai dete hain
main to raat birat aaj bhi
us buDhe bargad ke rone ki awaz sunta hoon
jiski gawahi nyayalay mein
koi mayne nahin rakhti
to mitron labbolubab ye ki
astha ki muskurahat ke kai mayne hain
aur is bhram mein to qati nahin rahna chahiye ki
sabhi tarah ki muskurahton ki bhasha
ek hoti hai
स्रोत :
रचनाकार : महेश आलोक
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.