ब्रह्मबेला में शृंगार करते
देखा है मैंने
अपने अघोरी को।
मणिकर्णिका एवं हरिश्चंद्र घाट पर
घी की नदी में नहाकर,
चंदन और धूप की शैय्या पर
चित्त होकर निर्विकार लेटे,
जलती लाशों की ठंडी राख से।
रामरती से बस दस रुपए में हमनें
सखुआ के पत्तें में सीक लगी कटोरी लेकर
माटी के दीये को गंगा में दहवा दिया।
धारा पर चुपचाप सुगबुगाते किनारे लगें नाव
मानों जैसे पास बुलाकर मुझसे कुछ कहना चाहते हों।
चेत सिंह घाट के विस्तृत चबूतरे पर
घुँघरुओं की खनक के साथ परमेलू का रियाज़
और अंतरावधि में सुनाई देती गंगा की मंद्र ध्वनि
जड़ देते हैं मुझे उसी स्थान पर जहाँ मैं होता हूँ।
हरिश्चंद्र पर अवचेतन मन में कंपित होती
कापालिकों के विचित्र ध्वनि का घर्घर नाद
और अस्सी की गलियों से लेकर गंगा उस पार तक
सुनाई देता बिसमिल्लाह के शहनाई का पहाड़ी धुन
कभी मुझे वैराग्य की ओर धकेलता है
तो कभी विरक्ति से घर वापस भी लौटा देता है।
brahmbela mein shringar karte
dekha hai mainne
apne aghori ko.
manikarnika evan harishchandr ghaat par
ghi ki nadi mein nahakar,
chandan aur dhoop ki shaiyya par
chitt hokar nirvikar lete,
jalti lashon ki thanDi raakh se.
ramarti se bas das rupe mein hamnen
sakhua ke patten mein seek lagi katori lekar
mati ke diye ko ganga mein dahva diya.
dhara par chupchap sugabugate kinare lagen naav
manon jaise paas bulakar mujhse kuch kahna chahte hon.
chet sinh ghaat ke vistrit chabutre par
ghungharuon ki khanak ke saath parmelu ka riyaz
aur antravadhi mein sunai deti ganga ki mandr dhvani
jaD dete hain mujhe usi sthaan par jahan main hota hoon.
harishchandr par avchetan man mein kampit hoti
kapalikon ke vichitr dhvani ka gharghar naad
aur assi ki galiyon se lekar ganga us paar tak
sunayi deta bismillah ke shahnai ka pahaDi dhun
kabhi mujhe vairagya ki or dhakelta hai
to kabhi virakti se ghar vapas bhi lauta deta hai.

स्रोत :
रचनाकार : उद्भव सिंह शांडिल्य
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.