दरवाज़े पर का बूढ़ा अशोक
कहते हैं जिसे रोपा था
मेरे दादा ने,
खड़ा है अब भी,
अब जबकि
हमने बाँट ली है
उसके नीचे की एक एक पग धरती
घर, आँगन और
मंदिर के देवता तक।
खड़ा है वह अब भी
लुटाता हम पर अपनी छाँह की आशीष।
उसकी लचकती डालियाँ
बुलाती हैं अब भी
घसीट लो मचिया इधर ही
आओ थोड़ी देर पढ़ें
मुंशी जी का गोदान
या गुरुदेव की 'गीतांजलि'।
या फिर आओ जमे
ताश की बाज़ी ही
तब तक जब तक
दादी आकर फेंक न दें पत्ते
मीठी लताड़ के साथ।
पूर्वज,
हम ज़रूर आते
बैठने तुम्हारी ठंडी छाँव में
पर नहीं लाँघी जाती हमसे
हमारी ही खींची हुई
लक्ष्मण-रेखाएँ,
बाज़ार के दबाव से
कमज़ोर हुए हमारे पाँव
असमर्थ हैं पार कर पाने में
झूठे दंभ की ढूहों को।
सेंसेक्स के उतार-चढ़ाव में
धूल खा रहे हैं
प्रेमचंद और टैगोर
किसी पुरानी अलमारी के कोने में।
अब तो अगर कभी
वैश्वीकरण और बाज़ार से
मुक्त हुए
अगर मिली फ़ुरसत बैठने की
फिर ज़िंदगी के साथ
हम आएँगे बैठने
फिर तुम्हारी छाया में।
darwaze par ka buDha ashok
kahte hain jise ropa tha
mere dada ne,
khaDa hai ab bhi,
ab jabki
hamne bant li hai
uske niche ki ek ek pag dharti
ghar, angan aur
mandir ke dewta tak
khaDa hai wo ab bhi
lutata hum par apni chhanh ki ashish
uski lachakti Daliyan
bulati hain ab bhi
ghasit lo machiya idhar hi
ao thoDi der paDhen
munshi ji ka godan
ya gurudew ki gitanjali
ya phir aao jame
tash ki bazi hi
tab tak jab tak
dadi aakar phenk na den patte
mithi lataD ke sath
purwaj,
hum zarur aate
baithne tumhari thanDi chhanw mein
par nahin langhi jati hamse
hamari hi khinchi hui
laxman rekhayen,
bazar ke dabaw se
kamzor hue hamare panw
asmarth hain par kar pane mein
jhuthe dambh ki Dhuhon ko
senseks ke utar chaDhaw mein
dhool kha rahe hain
premchand aur tagore
kisi purani almari ke kone mein
ab to agar kabhi
waishwikarn aur bazar se
mukt hue
agar mili fursat baithne ki
phir zindagi ke sath
hum ayenge baithne
phir tumhari chhaya mein
darwaze par ka buDha ashok
kahte hain jise ropa tha
mere dada ne,
khaDa hai ab bhi,
ab jabki
hamne bant li hai
uske niche ki ek ek pag dharti
ghar, angan aur
mandir ke dewta tak
khaDa hai wo ab bhi
lutata hum par apni chhanh ki ashish
uski lachakti Daliyan
bulati hain ab bhi
ghasit lo machiya idhar hi
ao thoDi der paDhen
munshi ji ka godan
ya gurudew ki gitanjali
ya phir aao jame
tash ki bazi hi
tab tak jab tak
dadi aakar phenk na den patte
mithi lataD ke sath
purwaj,
hum zarur aate
baithne tumhari thanDi chhanw mein
par nahin langhi jati hamse
hamari hi khinchi hui
laxman rekhayen,
bazar ke dabaw se
kamzor hue hamare panw
asmarth hain par kar pane mein
jhuthe dambh ki Dhuhon ko
senseks ke utar chaDhaw mein
dhool kha rahe hain
premchand aur tagore
kisi purani almari ke kone mein
ab to agar kabhi
waishwikarn aur bazar se
mukt hue
agar mili fursat baithne ki
phir zindagi ke sath
hum ayenge baithne
phir tumhari chhaya mein
स्रोत :
रचनाकार : श्रीविलास सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.