कितने अशोक के पेड़ हैं
आँगन में क्रम से खड़े हुए
कितने छोटे से थे
जब पिता ने इन्हें यहाँ लगाया था
इनके चमकीले हरे पत्तों को निहारते हुए
इनके नाम के सरल शाब्दिक अर्थ पर
कभी ध्यान नहीं दिया
एक पेड़ के नाम से जुड़ी
दूरस्थ से दूरस्थ चीजें
बैठी रही दिमाग़ में
पुराणों की एक वाटिका में
और मगध के रास्तों में
गाड़ रखे थे मैंने
इसके नाम के जटिल अर्थ
ये बात भी दिमाग़ से कभी नहीं गुज़री
कि जिस आदमी ने इन्हें यहाँ लगाया
सालों-साल इनकी आबपाशी और छँटाई की
वह आदमी इन पेड़ों को
एक ख़ास उद्देश्य के लिए तैयार कर रहा है
बढ़ते रहे ये अशोक के पेड़—
जीवन के एक बृहत्तर सत्य को,
अपने नाम के असल अर्थ को
एक आदमी की महाकाय अनुपस्थति में
व्यक्त करते हुए।
kitne ashok ke peD hain
angan mein kram se khaDe hue
kitne chhote se the
jab pita ne inhen yahan lagaya tha
inke chamkile hare patton ko niharte hue
inke naam ke saral shabdik arth par
kabhi dhyaan nahin diya
ek peD ke naam se juDi
durasth se durasth chijen
baithi rahi dimagh men
puranon ki ek vatika men
aur magadh ke raston men
gaaD rakhe the mainne
iske naam ke jatil arth
ye baat bhi dimagh se kabhi nahin gujri
ki jis adami ne inhen yahan lagaya
salo saal inki abapashi aur chhantai ki
wo adami in peDon ko
ek khaas uddeshya ke liye taiyar kar raha hai
baDhte rahe ye ashok ke peD—
jivan ke ek brihattar satya ko,
apne naam ke asal arth ko
ek adami ki mahakay anupasthati men
vyakt karte hue.
kitne ashok ke peD hain
angan mein kram se khaDe hue
kitne chhote se the
jab pita ne inhen yahan lagaya tha
inke chamkile hare patton ko niharte hue
inke naam ke saral shabdik arth par
kabhi dhyaan nahin diya
ek peD ke naam se juDi
durasth se durasth chijen
baithi rahi dimagh men
puranon ki ek vatika men
aur magadh ke raston men
gaaD rakhe the mainne
iske naam ke jatil arth
ye baat bhi dimagh se kabhi nahin gujri
ki jis adami ne inhen yahan lagaya
salo saal inki abapashi aur chhantai ki
wo adami in peDon ko
ek khaas uddeshya ke liye taiyar kar raha hai
baDhte rahe ye ashok ke peD—
jivan ke ek brihattar satya ko,
apne naam ke asal arth ko
ek adami ki mahakay anupasthati men
vyakt karte hue.
स्रोत :
रचनाकार : शिवम तोमर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.