जब कभी यह ख़याल कि बस अब और प्यार नहीं कर सकता मैं तुमसे आता है, मैं पूछता हूँ—
तुम्हारी आत्मा पर लगी चोटों को भरते देखने की कल्पना करते हुए,
अपने घावों को ज़्यादा संजीदा मानते हुए—
ख़ुद से कि कितना प्यार कर ही पाया हूँ अब तक।
तुम्हारी आँखों को ढकती पलकों के लिए
गाल पर गिरी पपनी के लिए
मेरी रगों में सिहरती तुम्हारी आवाज़ के लिए
तुम्हारी पुतलियों की भाषा के लिए
और तुम्हारे साथ बिताए गए उन सभी क्षणों के लिए
जब शब्दों की ज़रूरत नहीं महसूस होती है हमें;
कितनी कविताएँ लिखी हैं मैंने कि अब और प्रेम की क्षमता न होने का विलाप कर रहा हूँ।
कविताएँ लिख भी नहीं सकता तुम्हारे लिए
शब्द छोटे नहीं पड़ते, उनका अपना अलग चरितार्थ है प्रेम में
नहीं!
अर्थों से बोझिल यह ज़ोफ़ भावनाओं का विवरण चेहरे की तरह कब कर पाए हैं।
भले ही आसमान पर छिड़की गई लालिमा का आकर्षण शब्दों में नज़र आ जाता हो,
मैं यह दावे के साथ कह सकता हूँ, वो आकर्षण कुछ पीछे छूट जाने के कारण है,
न कि पा लेने का शब्दों से जो अर्थों का बोझ अपनी छाती पर उठाए
हर अर्थ का बखान है सिवाय उसके जो कहा जा रहा है।
इसीलिए जब कभी ख़लल पड़ता है मोहब्बत को महज़ शब्दों से,
न सक पाने की इस नीच बेचारगी से;
जब कभी मन होता है कहने का—बस अब और नहीं;
मैं भुला देता हूँ लिखित हर इतिहास जिसे पढ़ने के कारण ही आज तुमसे दूर होता हूँ।
इस क्षण केवल तुम्हारी ध्वनि होती है, बग़ैर मात्राओं के
उच्चारण करते वक़्त गले की कंपन पर ध्यान जाता है,
अक्षर अपने आप लुप्त हो जाते हैं इस वक़्त तक।
मैं भूल जाता हूँ कि तुम मेरे सामने नहीं बैठी हो,
तुम्हारी पुतलियाँ चमक नहीं रहीं,
तुम्हारे नाख़ून तुम्हारे अँगूठे पर दब नहीं रहे।
मैं भूल जाता हूँ कि मैं तुम्हें सुन नहीं सकता,
केवल पढ़ सकता हूँ तुम्हारे शब्द अपने फ़ोन की स्क्रीन पर
और विलाप कर सकता हूँ केवल
कि भाषा की बनाई गई इस धूरी पर इतनी दूर हो जाती हो तुम—
केवल कल्पना में ही मोहब्बत को जीवित रहने का आसरा मिल पाता है।
jab kabhi ye khayal ki bus ab aur pyar nahin kar sakta main tumse aata hai, main puchhta hoon—
tumhari aatma par lagi choton ko bharte dekhne ki kalpana karte hue,
apne ghawon ko zyada sanjida mante hue—
khu se ki kitna pyar kar hi paya hoon ab tak
tumhari ankhon ko Dhakti palkon ke liye
gal par giri papni ke liye
meri ragon mein siharti tumhari awaz ke liye
tumhari putaliyon ki bhasha ke liye
aur tumhare sath bitaye gaye un sabhi kshnon ke liye
jab shabdon ki zarurat nahin mahsus hoti hai hamein;
kitni kawitayen likhi hain mainne ki ab aur prem ki kshamata na hone ka wilap kar raha hoon
kawitayen likh bhi nahin sakta tumhare liye
shabd chhote nahin paDte, unka apna alag charitarth hai prem mein
nahin!
arthon se bojhil ye zof bhawnaon ka wiwarn chehre ki tarah kab kar pae hain
bhale hi asman par chhiDki gai lalima ka akarshan shabdon mein nazar aa jata ho,
main ye dawe ke sath kah sakta hoon, wo akarshan kuch pichhe chhoot jane ke karan hai,
na ki pa lene ka shabdon se jo arthon ka bojh apni chhati par uthaye
har arth ka bakhan hai siway uske jo kaha ja raha hai
isiliye jab kabhi khalal paDta hai mohabbat ko mahz shabdon se,
na sak pane ki is neech becharagi se;
jab kabhi man hota hai kahne ka—bus ab aur nahin;
main bhula deta hoon likhit har itihas jise paDhne ke karan hi aaj tumse door hota hoon
is kshan kewal tumhari dhwani hoti hai, baghair matraon ke
uchcharan karte waqt gale ki kampan par dhyan jata hai,
akshar apne aap lupt ho jate hain is waqt tak
main bhool jata hoon ki tum mere samne nahin baithi ho,
tumhari putliyan chamak nahin rahin,
tumhare nakhun tumhare anguthe par dab nahin rahe
main bhool jata hoon ki main tumhein sun nahin sakta,
kewal paDh sakta hoon tumhare shabd apne phone ki screen par
aur wilap kar sakta hoon kewal
ki bhasha ki banai gai is dhuri par itni door ho jati ho tum—
kewal kalpana mein hi mohabbat ko jiwit rahne ka aasra mil pata hai

स्रोत :
रचनाकार : उपांशु
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.