मुख्य गायक के चट्टान जैसे भारी स्वर का साथ देती
वह आवाज़ सुंदर कमज़ोर काँपती हुई थी
वह मुख्य गायक का छोटा भाई है
या उसका शिष्य
या पैदल चलकर सीखने आने वाला दूर का कोई रिश्तेदार
मुख्य गायक की गरज में
वह अपनी गूँज मिलाता आया है प्राचीन काल से
गायक जब अंतरे की जटिल तानों के जंगल में
खो चुका होता है
या अपने ही सरगम को लाँघकर
चला जाता है भटकता हुआ एक अनहद में
तब संगतकार ही स्थाई को सँभाले रहता है
जैसे समेटता हो मुख्य गायक का पीछे छूटा हुआ सामान
जैसे उसे याद दिलाता हो उसका बचपन
जब वह नौसिखिया था
तारसप्तक में जब बैठने लगता है उसका गला
प्रेरणा साथ छोड़ती हुई उत्साह अस्त होता हुआ
आवाज़ से राख जैसा कुछ गिरता हुआ
तभी मुख्य गायक हो ढाढ़स बंधाता
कहीं से चला आता है संगतकार का स्वर
कभी-कभी वह यों ही दे देता है उसका साथ
यह बताने के लिए कि वह अकेला नहीं है
और यह कि फिर से गाया जा सकता है
गाया जा चुका राग
और उसकी आवाज़ में जो एक हिचक साफ़ सुनाई देती है
यों अपने स्वर को ऊँचा न उठाने की जो कोशिश है
उसे विफलता नहीं
उसकी मनुष्यता समझा जाना चाहिए।
mukhy gayak ke chattan jaise bhari svar ka saath deti
wo avaz sundar kamzor kanpti hui thi
wo mukhy gayak ka chhota bhai hai
ya uska shishya
ya paidal chalkar sikhne aane vala door ka koi rishtedar
mukhy gayak ki garaj men
wo apni goonj milata aaya hai prachin kaal se
gayak jab antre ki jatil tanon ke jangal men
kho chuka hota hai
ya apne hi sargam ko langhakar
chala jata hai bhatakta hua ek anhad men
tab sangatkar hi sthai ko sambhale rahta hai
jaise sametta ho mukhy gayak ka pichhe chhuta hua saman
jaise use yaad dilata ho uska bachpan
jab wo nausikhiya tha
tarasaptak mein jab baithne lagta hai uska gala
prerna saath chhoDti hui utsaah ast hota hua
avaz se raakh jaisa kuch girta hua
tabhi mukhy gayak ho DhaDhas bandhata
kahin se chala aata hai sangatkar ka svar
kabhi kabhi wo yon hi de deta hai uska saath
ye batane ke liye ki wo akela nahin hai
aur ye ki phir se gaya ja sakta hai
gaya ja chuka raag
aur uski avaz mein jo ek hichak saaf sunai deti hai
yon apne svar ko uncha na uthane ki jo koshish hai
use viphalta nahin
uski manushyata samjha jana chahiye.

Videos This video is playing from YouTube
मंगलेश डबराल
मंगलेश डबराल
स्रोत :
पुस्तक : क्षितिज (भाग-2) (पृष्ठ 37)
रचनाकार : मंगलेश डबराल
प्रकाशन : एन.सी. ई.आर.टी
संस्करण : 2022
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.