उसके पैदा होने पर
न सप्तर्षियों ने की कोई बैठक
न ही दिखा कोई तारा
उत्तर दिशा में
न ही उस दिन नदी में
एकाएक आया ज़्यादा पानी।
उस दिन तो सूरज भी
थोड़ा कम लाल उगा
बिल्कुल भोर में चिड़ियाँ न बोलीं
सुग्गे तो सुग्गे उस दिन कौए भी अलसाए थे
एक नामालूम-सी घड़ी में जन्मा वह
नगाड़ा बनाने वाले कारसाज़ के यहाँ।
पता था उसे सबसे अच्छा चमड़ा
किस पशु का है
उम्र, क़द-काठी सब पता थी उसे पशुओं की
किस जगह के चमड़े से बनता है जूता
कहाँ से निकलती है मशक
कहाँ के चमड़े से बनता है नगाड़ा।
कहाँ से निकलती है गगनभेदी आवाज़
किस चमड़े की बनती है ढोल
ढोल कसने का ताँत निकलता है कहाँ से
कहाँ के चमड़े से बनता है डमरू
जिससे निकलते हैं
पाणिनि के माहेश्वर सूत्र
व्याकरण के सिरजे जाने से पहले
ध्वनियों के प्रथम साक्षी थे उसके पुरखे।
देश के सारे गीतों के बोल
निर्धारित हैं उन वाद्य-यंत्रों से
बनाए थे उसके बाप-दादों ने
इस महाद्वीप की नर्तकियों का लास्य
ढोल के उन चमड़ों का ऋणी है
जो कमाया गया था सैकड़ों साल पहले।
तो हुआ एक दिन क्या
उसने बनाया नगाड़ा
आवाज़ गूँजती पाँच कोस जिसकी
और अगहन की एक सर्द-सी शाम
नगड़ची राजधानी चला आया।
राजधानी में देस के राजा का घर था
उसे लगा कि यही मुफ़ीद जगह है
विरुदावली गाई जाए उसकी
प्रजा के सुख बताए जाएँ
दिल्ली के बड़के अर्थशास्त्री को भी
देस का हाल बताया जाए
आख़िर वह था
देस की गाथाओं का आदिम संरक्षक
वंशक्रम, कीर्ति
सब था उसकी जिह्वा पर
हज़ारों-हज़ार वर्ष से उसके पुरखों ने
ऐसे ही सुरक्षित रखा था इतिहास
इतिहासकारों का वह पुरखा
राजधानी में गाने आया था
देस का इतिहास।
लेकिन यह क्या?
वह गाने लगा अपने पूर्वजों के सोग
सदियों के संताप नगाड़े पर बजाने लगा वह
बताने लगा कि गाँव में तालाब में
किसकी लाश उतराई थी
पिछले महीने
किसने लगाई छप्पर वाले टोले में आग
किसने क़ब्ज़ा कर लिया चारागाह
सब कुछ उसने सुनाया
बूढ़े पत्रकार को
पत्रकार केवल इतना बोला
तुम बोलते हो ऋषियों की तरह
राजधानी में भला उनका क्या काम
कल आना मेरे घर
पिलाऊँगा फ़्रांस की दारू।
न तो नगड़ची को फ़ुर्सत थी
न बूढ़े पत्रकार को
नगड़ची राजधानी नगाड़ा बजाने आया था
पत्रकार हर मिलने वाले से कहता था
घर आना
नगड़ची उसकी आँखों की ऊष्माहीनता से जान गया था
वह केवल उसे मन-बहलाव के लिए बुला रहा
उन्हीं दिनों माघ के महीने में
राजधानी के दिल और दिमाग़ पर कुहरा छाया था
उसने सेंका अपना नगाड़ा एक बार फिर
राजधानी में काठ नहीं बचा था
वह केवल लोगों के कलेजे में था
उसने टाइम मैगज़ीन को जला कर ही
नगाड़े के मर्म पर लगाई चोट
अब वह शहर के साहित्यकारों की करने लगा मुनादी
उनका गुण-रूप-रस
भाषा-रूपक-भाव
सब कुछ बताने लगा
नगाड़े की चोट पर
उनका संगीत और कला प्रेम
उसके लाभार्थियों की सूची
उसने बताई
पिछले सात पुश्तों की
फागुन की सनसनाती हवा
नगाड़े की आवाज़ ले जाने लगी
मुगल गार्डेन में घूमते लोगों तक
उसने पिछली सदी के कलेक्टर कवि के
औसतपने की खोल दी पोल
कि उसने चुराई हैं कविताएँ
अपने टाइपिस्ट की
यह बात उसने नगाड़े की दो टंकी लगाकर कही
मंडी हाउस मेट्रो पर
इंडिया इंटनेशनल सेंटर में जब व्याकरण के पंडित
एक नई भाषा खोजे जाने की कर रहे थे प्रेस कॉन्फ़्रेंस
तो उसने जोर से बजाया नगाड़ा
'यह तो मेरे पुरखों की भाषा है
चुरा रहा है यूनिवर्सिटी का प्रोफ़ेसर'
दिल्ली विश्वविद्यालय की आर्ट फ़ैकल्टी पर
एक बड़े से मजमे में उसने बताया कि बैंक का अफ़सर
विज्ञापन का कौर डालता है संपादक को
और उसे साल का बेहतरीन कवि घोषित कर देता है
एक चित्रकार
उसकी पत्रिका में
फिर होली के दिन
शहर के सारे कवि-संपादक-पत्रकार
प्रोफ़ेसर और नेता
आंदोलनकारी और मुक्तिदाता जमा हुए
राजा भी आया अपनी लाव-लश्कर के साथ
एक जज एक वकील भी आया
स्टेनो टाइपिस्ट आए
मुकर्रर की गई उसकी सज़ा
नगड़ची को झोंक दिया ज़िंदा
होली के दिन होली की आग में
वह जल ही रहा था अभी
उस पर कविता लिखी
एक घंटावादी कवि ने
ठीक तीन महीने बाद
उसे दिया गया बेहतरीन कवि का पुरस्कार
और राजधानी में काव्य-संस्कृति ऐसे ही पनपती रही।
uske paida hone par
na saptarshiyon ne ki koi baithak
na hi dikha koi tara
uttar disha men
na hi us din nadi mein ekayek aaya zyada pani.
us din to suraj bhi
thoDa kam laal uga
bilkul bhor mein chiDiyan na bolin
sugge to sugge us din kauve bhi alsaye the
ek namalum si ghaDi mein janma wo
nagaDa banane vale karsaj ke yahan.
pata tha use sabse achchha chamDa
kis pashu ka hai
umr, qad kathi sab pata thi use pashuon ki
kis jagah ke chamDe se banta hai juta
kahan se nikalti hai mashak
kahan ke chamDe se banta hai nagaDa.
kahan se nikalti hai gaganbhedi avaz
kis chamDe ki banti hai Dhol
Dhol kasne ka taant nikalta hai kahan se
kahan ke chamDe se banta hai Damru
jisse nikalte hain
panini ke maheshvar sootr
vyakran ke sirje jane se pahle
dhvaniyon ke pratham sakshi the uske purkhe.
desh ke sare giton ke bol
nirdharit hain un vadya yantron se
banaye the uske baap dadon ne
is mahadvip ki nartakiyon ka lasya
Dhol ke un chamDon ka rini hai
jo kamaya gaya tha saikDon saal pahle.
to hua ek din kya
usne banaya nagaDa
avaz gunjti paanch kos jiski
aur aghan ki ek sard si shaam
nagaDchi rajdhani chala aaya.
rajdhani mein des ke raja ka ghar tha
use laga ki yahi mufid jagah hai
virudavali gai jaye uski
praja ke sukh bataye jayen
dilli ke baDke arthashastri ko bhi
des ke haal bataya jaye
akhir wo tha des ki gathaon ka aadim sanrakshak
vanshakram, kirti
sab tha uski jihva par
hazaron hazar varsh se uske purkhon ne
aise hi surakshit rakha tha itihas
itihaskaron ka wo purkha
rajdhani mein gane aaya tha des ka itihas.
lekin ye kyaa?
wo gane laga apne purvjon ke sog
sadiyon ke santap nagaDe par bajane laga wo
batane laga ki gaanv mein talab mein kiski laash utrai thi
pichhle mahine
kisne lagai chhappar vale tole mein aag
kisne qabza kar liya charagah
sab kuch usne sunaya
buDhe patrakar ko
patrakar keval itna bola
tum bolte ho rishiyon ki tarah
rajdhani mein bhala unka kya kaam
kal aana mere ghar
pilaunga fraans ki daru.
na to nagaDchi ko fursat thi
na buDhe patrakar ko
nagaDchi rajdhani nagaDa bajane aaya tha
patrakar har milne vale se kahta tha
ghar aana
nagaDchi uski ankhon ki uushmahinta se jaan gaya tha
wo keval use man bahlav ke liye bula raha
unhin dinon maagh ke mahine men
rajdhani ke dil aur dimagh par kuhra chhaya tha
usne senka apna nagaDa ek baar phir
rajdhani mein kaath nahin bacha tha
wo keval logon ke kaleje mein tha
usne taim maigzin ko jala kar hi
nagaDe ke marm par lagai chot
ab wo shahr ke sahitykaron ki karne laga munadi
unka gun roop ras
bhasha rupak bhaav
sab kuch batane laga
nagaDe ki chot par
unka sangit aur kala prem
uske labharthiyon ki suchi
usne batai
pichhle saat pushton ki
phagun ki sansanati hava
nagaDe ki avaz le jane lagi
mugal garDen mein ghumte logon tak
usne pichhli sadi ke kalektar kavi ke ausatapne ki khol di pol
ki usne churai hain kavitayen
apne taipist ki
ye baat usne nagaDe ki do tanki laga kar kahi
manDi haus metro par
inDiya intneshnal sentar mein jab vyakran ke panDit
ek nai bhasha khoje jane ki kar rahe the pres kanfrens
to usne jor se bajaya nagaDa
ye to mere purkhon ki bhasha hai
chura raha hai yunivarsiti ka prophesar
dilli vishvavidyalay ki aart faikalti par
ek baDe se majme mein mein usne bataya ki baink ka afsar
vigyapan ka kaur Dalta hai sampadak ko
aur use saal ka behtarin kavi ghoshit kar deta hai
ek chitrkar
uski patrika men
phir holi ke din
shahr ke sare kavi sampadak patrakar
profesar aur neta
andolankari aur muktidata ikaththa hue
raja bhi aaya apni laav lashkar ke saath
ek jaj ek vakil bhi aaya
steno taipist aaye
mukarrar ki gai uski saja
nagaDchi ko jhonk diya zinda
holi ke din holi ki aag men
wo jal hi raha tha abhi
us par kavita likhi
ek ghantavadi kavi ne
theek teen mahine baad
use diya gaya behtarin kavi ka puraskar
aur rajdhani mein kavya sanskriti aise hi panapti rahi.
uske paida hone par
na saptarshiyon ne ki koi baithak
na hi dikha koi tara
uttar disha men
na hi us din nadi mein ekayek aaya zyada pani.
us din to suraj bhi
thoDa kam laal uga
bilkul bhor mein chiDiyan na bolin
sugge to sugge us din kauve bhi alsaye the
ek namalum si ghaDi mein janma wo
nagaDa banane vale karsaj ke yahan.
pata tha use sabse achchha chamDa
kis pashu ka hai
umr, qad kathi sab pata thi use pashuon ki
kis jagah ke chamDe se banta hai juta
kahan se nikalti hai mashak
kahan ke chamDe se banta hai nagaDa.
kahan se nikalti hai gaganbhedi avaz
kis chamDe ki banti hai Dhol
Dhol kasne ka taant nikalta hai kahan se
kahan ke chamDe se banta hai Damru
jisse nikalte hain
panini ke maheshvar sootr
vyakran ke sirje jane se pahle
dhvaniyon ke pratham sakshi the uske purkhe.
desh ke sare giton ke bol
nirdharit hain un vadya yantron se
banaye the uske baap dadon ne
is mahadvip ki nartakiyon ka lasya
Dhol ke un chamDon ka rini hai
jo kamaya gaya tha saikDon saal pahle.
to hua ek din kya
usne banaya nagaDa
avaz gunjti paanch kos jiski
aur aghan ki ek sard si shaam
nagaDchi rajdhani chala aaya.
rajdhani mein des ke raja ka ghar tha
use laga ki yahi mufid jagah hai
virudavali gai jaye uski
praja ke sukh bataye jayen
dilli ke baDke arthashastri ko bhi
des ke haal bataya jaye
akhir wo tha des ki gathaon ka aadim sanrakshak
vanshakram, kirti
sab tha uski jihva par
hazaron hazar varsh se uske purkhon ne
aise hi surakshit rakha tha itihas
itihaskaron ka wo purkha
rajdhani mein gane aaya tha des ka itihas.
lekin ye kyaa?
wo gane laga apne purvjon ke sog
sadiyon ke santap nagaDe par bajane laga wo
batane laga ki gaanv mein talab mein kiski laash utrai thi
pichhle mahine
kisne lagai chhappar vale tole mein aag
kisne qabza kar liya charagah
sab kuch usne sunaya
buDhe patrakar ko
patrakar keval itna bola
tum bolte ho rishiyon ki tarah
rajdhani mein bhala unka kya kaam
kal aana mere ghar
pilaunga fraans ki daru.
na to nagaDchi ko fursat thi
na buDhe patrakar ko
nagaDchi rajdhani nagaDa bajane aaya tha
patrakar har milne vale se kahta tha
ghar aana
nagaDchi uski ankhon ki uushmahinta se jaan gaya tha
wo keval use man bahlav ke liye bula raha
unhin dinon maagh ke mahine men
rajdhani ke dil aur dimagh par kuhra chhaya tha
usne senka apna nagaDa ek baar phir
rajdhani mein kaath nahin bacha tha
wo keval logon ke kaleje mein tha
usne taim maigzin ko jala kar hi
nagaDe ke marm par lagai chot
ab wo shahr ke sahitykaron ki karne laga munadi
unka gun roop ras
bhasha rupak bhaav
sab kuch batane laga
nagaDe ki chot par
unka sangit aur kala prem
uske labharthiyon ki suchi
usne batai
pichhle saat pushton ki
phagun ki sansanati hava
nagaDe ki avaz le jane lagi
mugal garDen mein ghumte logon tak
usne pichhli sadi ke kalektar kavi ke ausatapne ki khol di pol
ki usne churai hain kavitayen
apne taipist ki
ye baat usne nagaDe ki do tanki laga kar kahi
manDi haus metro par
inDiya intneshnal sentar mein jab vyakran ke panDit
ek nai bhasha khoje jane ki kar rahe the pres kanfrens
to usne jor se bajaya nagaDa
ye to mere purkhon ki bhasha hai
chura raha hai yunivarsiti ka prophesar
dilli vishvavidyalay ki aart faikalti par
ek baDe se majme mein mein usne bataya ki baink ka afsar
vigyapan ka kaur Dalta hai sampadak ko
aur use saal ka behtarin kavi ghoshit kar deta hai
ek chitrkar
uski patrika men
phir holi ke din
shahr ke sare kavi sampadak patrakar
profesar aur neta
andolankari aur muktidata ikaththa hue
raja bhi aaya apni laav lashkar ke saath
ek jaj ek vakil bhi aaya
steno taipist aaye
mukarrar ki gai uski saja
nagaDchi ko jhonk diya zinda
holi ke din holi ki aag men
wo jal hi raha tha abhi
us par kavita likhi
ek ghantavadi kavi ne
theek teen mahine baad
use diya gaya behtarin kavi ka puraskar
aur rajdhani mein kavya sanskriti aise hi panapti rahi.
स्रोत :
रचनाकार : रमाशंकर सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.