गेहूँ के भूसे की मरी रंगत में लिपटा
धब्बेदार, धूसर शहर।
दिनों की घटनाएँ
एकदम खिसकती चट्टान-सी
गिरती हैं...अचानक
शहरी हो हल्ले में
गर्मी के दिनों के
तीव्र, आवेशी दृश्य की तरह
कंपकपाती है
अशाँति की आशंका,
बीमार गंधाते समाज को
दूध पिलाता समाज...
धूल की कीचड़दार पर्तों में लिपटे
बड़े रोड़े गड्ढे गहरे।
हवा का ज़ोरदार झोंका–
और धुल से ढँक जाती है दिशाएँ
राह में देने फैलाए ज़र्द गेरुआ ट्रक।
बड़े ख़तरनाक ढंग से मुडती हैं टायरें
वीभत्स ढंग से टकराती हैं
पिलाई रोशनी की आड़ी तिरछी रेखाएँ
छायाएँ नाच उठती हैं
पास कहीं कर्कश संगीत गूँजता है
पेड़ की डालों से कौवों का झुँड उड़ा जाता
काँव–काँव की रौरव फैलाता।
फिर जान पर बन आई है।
पानी का कैन लादे
रस्कोलनिकोव
असहाय नज़रों से घूर रहा है
वह घूर रहा है
और उसके सामने है रंगीनियों की चकाचौंध।
नियोनी रश्मियों के पुंज!
बहुत बड़े साइनबोर्ड में
उन्मुक्त हँसी बिखेरती तारिकाएँ...
वह घूर रहा है
क्रूरता के मासूम से दिखते चेहरों को
जो रात के अँधेरे में दानव अवतार लेते हैं
और मंदिरों–मस्जिदों में
ताले लटक जाते हैं...
असहाय नज़रों से घूर रहा, वह
शर्तिया अपराध करेगा।
फिर दूनिया के क़दमों को चूम, कहेगा–
“मैं तुम्हारे नहीं, समस्त पीड़ित मानवता के
क़दमों चूम रहा हूँ”
तंग गलियों में वो फक्कड़
ठोकरें खाएगा,
भूख से अकड़ी अंतड़ियाँ लिए
माँ के दुखों को याद कर
वह फिर वार करेगा...
खौफ़नाक अपराध!
पत्थर, चाकू, लाठी
सामूहिक दहन की सामग्रियों से
सज्जित नैतिकताएँ,
तमाम धर्मशास्त्रों की आयतें
ख़तरनाक अपराधी बताएँगी...
...धीरे-धीरे
धुँधली पड़ती जाएँगी
श्रेष्ठ मानवीय भावनाएँ।
आप दार्शनिक होते-होते
एकदम से चिल्ला उठेंगे–
‘हाँ-हाँ! अपराधी है वह!
ख़ून किया है उसने!’
मगर रस्कोलनिकोव को नहीं रोक पाएँगे।
माथे पर शिकन, आँखों में जलन लिए
विश्थापित, दर-बदर
इनके भीतर जी उठेगा रस्कोलनिकोव
पवित्र और ‘वांटेड’ अपराधी
दोस्तोयेव्स्की।
..
फ्योदोर दोस्तोयेव्स्की का उपन्यास
उपन्यास का केंद्रीय पात्र
वेश्यावृति करने को मज़बूर रस्कोलनिकोव की बहन
gehun ke bhuse ki mari rangat mein lipta
dhabbedar, dhusar shahr.
dinon ki ghatnayen
ekdam khisakti chattan si
girti hain. . achanak
shahri ho halle mein
garmi ke dinon ke
teevr, aveshi drishya ki tarah
kampakpati hai
ashanti ki ashanka,
bimar gandhate samaj ko
doodh pilata samaj. . .
dhool ki kichaDdar parton mein lipte
baDe roDe gaDDhe gahre.
hava ka zordar jhonka–
aur dhul se Dhank jati hai dishayen
raah mein dene phailaye zard gerua trak.
baDe khatarnak Dhang se muDti hain tayren
vibhats Dhang se takrati hain
pilai roshni ki aaDi tirchhi rekhayen
chhayayen naach uthti hain
paas kahin karkash sangit gunjta hai
peD ki Dalon se kauvon ka jhunD uDa jata
kaanv– kaanv ki raurav phailata.
phir jaan par ban aai hai.
pani ka kain lade
raskolanikov
ashay nazron se ghoor raha hai
wo ghoor raha hai
aur uske samne hai ranginiyon ki chakachaundh.
niyoni rashmiyon ke punj!
bahut baDe sainborD mein
unmukt hansi bikherti tarikayen. . .
wo ghoor raha hai
krurata ke masum se dikhte chehron ko
jo raat ke andhere mein danav avtar lete hain
aur mandiron–masjidon mein
tale latak jate hain. . .
ashay nazron se ghoor raha, wo
shartiya apradh karega.
phir duniya ke qadmon ko choom, kahega–
“main tumhare nahin, samast piDit manavta ke
qadmon choom raha hoon”
tang galiyon mein wo phakkaD
thokren khayega,
bhookh se akDi antaDiyan liye
maan ke dukhon ko yaad kar
wo phir vaar karega. . .
khaufnak apradh!
patthar, chaku, lathi
samuhik dahan ki samagriyon se
sajjit naitiktayen,
tamam dharmshastron ki ayten
khatarnak apradhi batayengi. . .
. . . dhire dhire
dhundhli paDti jayengi
shreshth manaviy bhavnayen.
aap darshanik hote hote
ekdam se chilla uthenge–
‘haan haan! apradhi hai vah!
khoon kiya hai usne!’
magar raskolanikov ko nahin rok payenge.
mathe par shikan, ankhon mein jalan liye
vishthapit, dar badar
inke bhitar ji uthega raskolanikov
pavitra aur ‘vanteD’ apradhi
dostoyevski.
. .
phyodor dostoyevski ka upanyas
upanyas ka kendriy paatr
veshyavriti karne ko mazbur raskolanikov ki bahan
gehun ke bhuse ki mari rangat mein lipta
dhabbedar, dhusar shahr.
dinon ki ghatnayen
ekdam khisakti chattan si
girti hain. . achanak
shahri ho halle mein
garmi ke dinon ke
teevr, aveshi drishya ki tarah
kampakpati hai
ashanti ki ashanka,
bimar gandhate samaj ko
doodh pilata samaj. . .
dhool ki kichaDdar parton mein lipte
baDe roDe gaDDhe gahre.
hava ka zordar jhonka–
aur dhul se Dhank jati hai dishayen
raah mein dene phailaye zard gerua trak.
baDe khatarnak Dhang se muDti hain tayren
vibhats Dhang se takrati hain
pilai roshni ki aaDi tirchhi rekhayen
chhayayen naach uthti hain
paas kahin karkash sangit gunjta hai
peD ki Dalon se kauvon ka jhunD uDa jata
kaanv– kaanv ki raurav phailata.
phir jaan par ban aai hai.
pani ka kain lade
raskolanikov
ashay nazron se ghoor raha hai
wo ghoor raha hai
aur uske samne hai ranginiyon ki chakachaundh.
niyoni rashmiyon ke punj!
bahut baDe sainborD mein
unmukt hansi bikherti tarikayen. . .
wo ghoor raha hai
krurata ke masum se dikhte chehron ko
jo raat ke andhere mein danav avtar lete hain
aur mandiron–masjidon mein
tale latak jate hain. . .
ashay nazron se ghoor raha, wo
shartiya apradh karega.
phir duniya ke qadmon ko choom, kahega–
“main tumhare nahin, samast piDit manavta ke
qadmon choom raha hoon”
tang galiyon mein wo phakkaD
thokren khayega,
bhookh se akDi antaDiyan liye
maan ke dukhon ko yaad kar
wo phir vaar karega. . .
khaufnak apradh!
patthar, chaku, lathi
samuhik dahan ki samagriyon se
sajjit naitiktayen,
tamam dharmshastron ki ayten
khatarnak apradhi batayengi. . .
. . . dhire dhire
dhundhli paDti jayengi
shreshth manaviy bhavnayen.
aap darshanik hote hote
ekdam se chilla uthenge–
‘haan haan! apradhi hai vah!
khoon kiya hai usne!’
magar raskolanikov ko nahin rok payenge.
mathe par shikan, ankhon mein jalan liye
vishthapit, dar badar
inke bhitar ji uthega raskolanikov
pavitra aur ‘vanteD’ apradhi
dostoyevski.
. .
phyodor dostoyevski ka upanyas
upanyas ka kendriy paatr
veshyavriti karne ko mazbur raskolanikov ki bahan
स्रोत :
रचनाकार : मनोज मल्हार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.